احمد فراز

احمد فراز

شاعر — Ahmad Faraz

تعارف شاعری

جس سمت بھی دیکھوں نظر آتا ہے کہ تم ہو

جس سمت بھی دیکھوں نظر آتا ہے کہ تم ہو اے جان جہاں یہ کوئی تم سا ہے کہ تم ہو یہ خواب ہے خوشبو ہے کہ جھونکا ہے کہ پل ہے یہ دھند ہے بادل ہے کہ سایا ہے کہ تم ہو اس دید کی ساعت میں کئی رنگ ہیں لرزاں میں ہوں کہ کوئی اور ہے دنیا ہے کہ تم ہو دیکھو یہ کسی اور کی آنکھیں ہیں کہ میری دیکھوں یہ کسی اور کا چہرہ ہے کہ تم ہو یہ عمر گریزاں کہیں ٹھہرے تو یہ جانوں ہر سانس میں مجھ کو یہی لگتا ہے کہ تم ہو ہر بزم میں موضوع سخن دل زدگاں کا اب کون ہے شیریں ہے کہ لیلیٰ ہے کہ تم ہو اک درد کا پھیلا ہوا صحرا ہے کہ میں ہوں اک موج میں آیا ہوا دریا ہے کہ تم ہو وہ وقت نہ آئے کہ دل زار بھی سوچے اس شہر میں تنہا کوئی ہم سا ہے کہ تم ہو آباد ہم آشفتہ سروں سے نہیں مقتل یہ رسم ابھی شہر میں زندہ ہے کہ تم ہو اے جان فرازؔ اتنی بھی توفیق کسے تھی ہم کو غم ہستی بھی گوارا ہے کہ تم ہو

— احمد فراز

English rendering

Jis simt bhi dekhun nazar aata hai ke tum ho Ay jaan-e-jahan yeh koi tum sa hai ke tum ho Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhonka hai, ke pal hai Yeh dhund hai, baadal hai, ke saaya hai, ke tum ho Is deed ki sa'at mein kai rang hain larzaan Main hun ke koi aur hai, duniya hai ke tum ho Dekho yeh kisi aur ki aankhein hain ke meri Dekhun yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho Yeh umr-e-garezaan kahin thehre to yeh jaanun Har saans mein mujh ko yahi lagta hai ke tum ho Hr bazm mein mauzoo-e-sukhan dil-zadgaan ka Ab kaun hai, Shireen hai ke Laila hai ke tum ho Ik dard ka phaila hua sehra hai ke main hun Ik mauj mein aaya hua darya hai ke tum ho Woh waqt na aaye ke dil-e-zaar bhi soche Is shahr mein tanha koi hum sa hai ke tum ho Aabaad hum aashufta-saron se nahin maqtal Yeh rasm abhi shahr mein zinda hai ke tum ho Ay jaan-e-Faraz itni bhi taufiq kise thi Hum ko gham-e-hasti bhi gawara hai ke tum ho

‹ کلام کی فہرست پر واپس