رات اس کے سامنے میرے سوا بھی میں ہی تھا
رات اس کے سامنے میرے سوا بھی میں ہی تھا سب سے پہلے میں گیا تھا دوسرا بھی میں ہی تھا میں مخالف سمت میں چلتا رہا ہوں عمر بھر اور جو اس تک گیا وہ راستہ بھی میں ہی تھا سب سے کٹ کر رہ گیا خود میں سمٹ کر رہ گیا سلسلہ ٹوٹا کہاں سے سوچتا بھی میں ہی تھا سب سے اچھا کہہ کے اس نے مجھ کو رخصت کر دیا جب یہاں آیا تو پھر سب سے برا بھی میں ہی تھا وقت کے محراب میں جو بے سبب جلتا رہا رات نے مجھ کو بتایا وہ دیا بھی میں ہی تھا خود سے ملنے کی تمنا پر زوال آنے کے بعد وہ سمجھتا ہے کہ اس کا آئنا بھی میں ہی تھا
English rendering
Raat us ke samne mere siwa bhi main hi tha Sab se pehle main gaya tha doosra bhi main hi tha Main mukhalif simt mein chalta raha hoon umr bhar Aur jo us tak gaya woh raasta bhi main hi tha Sab se kat kar reh gaya khud mein simat kar reh gaya Silsila toota kahan se sochta bhi main hi tha Sab se achha keh ke us ne mujh ko rukhsat kar diya Jab yahan aaya to phir sab se bura bhi main hi tha Waqt ke mehrab mein jo be-sabab jalta raha Raat ne mujh ko bataya woh diya bhi main hi tha Khud se milne ki tamanna par zawal aane ke baad Woh samajhta hai ke us ka aaina bhi main hi tha