اقبال ساجد

اقبال ساجد

شاعر — Iqbal Sajid

تعارف شاعری

گو دہر کے نقشے میں ہیں باہر بھی نہیں ہم

گو دہر کے نقشے میں ہیں باہر بھی نہیں ہم رکھتے ہیں نشاں اور اجاگر بھی نہیں ہم کیوں ہم سے پھر امید صدف باندھ رہے ہو جب تم کو پتا ہے کہ سمندر بھی نہیں ہم خوشبو کی طرح پھول کے پنجرے میں نہیں بند آزاد فضاؤں کا مقدر بھی نہیں ہم احساس ہے پھر خانہ بدوشی کا ہمیں کیوں رہنے کو ٹھکانہ بھی ہے بے گھر بھی نہیں ہم کیسے ہو خد و خال سے پہچان ہماری معنی کی طرح لفظ کے اندر بھی نہیں ہم پرواز سبب کیسے ہو بچوں کی خوشی کا تتلی کی طرح مصحف گل پر بھی نہیں ہم اس کا یہ تقاضا ہے کہ احکام بجا لائیں جس حسن کا سرکار کے نوکر بھی نہیں ہم

— اقبال ساجد

English rendering

Go dahar ke naqshe mein hain bahar bhi nahin hum Rakhte hain nishan aur ujagar bhi nahin hum Kyun hum se phir umeed-e-sadaf baandh rahe ho Jab tum ko pata hai ke samundar bhi nahin hum Khushboo ki tarah phool ke pinjre mein nahin band Aazad fizaon ka muqaddar bhi nahin hum Ehsaas hai phir khana badoshi ka hamein kyun Rehne ko thikana bhi hai be-ghar bhi nahin hum Kaise ho khad-o-khaal se pehchan hamari Ma'ani ki tarah lafz ke andar bhi nahin hum Parwaz sabab kaise ho bachon ki khushi ka Titli ki tarah mushaf-e-gul par bhi nahin hum Is ka yeh taqaza hai ke ahkaam baja layein Jis husn ka sarkar ke naukar bhi nahin hum

‹ کلام کی فہرست پر واپس