چاہے بے نور ہوں آنکھوں سے بھی خوش ہوتے ہیں
چاہے بے نور ہوں آنکھوں سے بھی خوش ہوتے ہیں ہم تو بوجہل کے فتووں سے بھی خوش ہوتے ہیں یہ سجاوٹ کے جو بازار ہیں بے کار نہیں ہوں گے کچھ لوگ جو چہروں سے بھی خوش ہوتے ہیں ہر نیا لمحہ تعاقب میں ہے تعبیروں کی ہم وہ جاگے ہیں جو خوابوں سے بھی خوش ہوتے ہیں ایسے ہی پھوٹ کے روئے گا کوئی ان کے لئے لوگ مجبور کے نالوں سے بھی خوش ہوتے ہیں یہ جو ہر روز کا مرنا ہے مصیبت ہے یہی یار ہم جیسے تو زخموں سے بھی خوش ہوتے ہیں کوئی ہے جو تری اوقات بتاتا ہے تجھے اب تو ہم آئنے والوں سے بھی خوش ہوتے ہیں مشک والے بھی چلے آتے ہیں بھولے بھٹکے یہ جو صوفی ہیں غزالوں سے بھی خوش ہوتے ہیں
English rendering
Chaahe be-noor hon aankhon se bhi khush hote hain Ham to bojhal ke fatwon se bhi khush hote hain Ye sajawat ke jo bazaar hain bekaar nahin Honge kuchh log jo chehron se bhi khush hote hain Har naya lamha taaqub mein hai tabeeron ki Ham wo jaage hain jo khwabon se bhi khush hote hain Aise hi phoot ke roye ga koi in ke liye Log majboor ke nalon se bhi khush hote hain Ye jo har roz ka marna hai museebat hai yahi Yaar hum jaise to zakhmon se bhi khush hote hain Koi hai jo teri auqaat batata hai tujhe Ab to hum aane walon se bhi khush hote hain Mushk wale bhi chale aate hain bhoole bhatke Ye jo sufi hain ghazalon se bhi khush hote hain