ثانی نہیں تھا اس کا کوئی بانکپن میں رات
ثانی نہیں تھا اس کا کوئی بانکپن میں رات انگڑائی لے کے جاگ اٹھی تھی بدن میں رات بیہودہ روشنی کی اذیت تھی شہر میں سو ہم نے طے کیا کہ گزاریں گے بن میں رات کل تم نے حال بھی نہیں پوچھا غریب کا کس طرح کاٹنی پڑی اپنے بدن میں رات جس نے سبھی کو رنگ لیا اپنے رنگ میں سچ پوچھیے تو طاق ہے بس ایک فن میں رات اوقات مہر و ماہ کی معلوم تب ہوئی جب ہم گزار آئے تری انجمن میں رات چنتا رہا تمام شب اس کے بدن سے پھول ایسا لگا کہ تھم سی گئی ہو چمن میں رات
English rendering
Saani nahin tha is ka koi baankpan mein raat AngDai le ke jaag uThi thi badan mein raat Behuda roshni ki aziyat thi shahar mein So ham ne tai kiya ki guzaarein ge ban mein raat Kal tum ne haal bhi nahin poochha ghareeb ka Kis tarah kaaTni paDi apne badan mein raat Jis ne sabhi ko rang liya apne rang mein Sach poochhiye to taaq hai bas ek fan mein raat Auqaat-e-mehar-o-maah ki maloom tab hui Jab ham guzaar aaye teri anjuman mein raat Chunta raha tamam shab us ke badan se phool Aisa laga ki tham si gai ho chaman mein raat