غسل آخر نکھر گیا ہوں میں
غسل آخر نکھر گیا ہوں میں زیب تن کفن کر گیا ہوں میں تم یقین کیوں نہیں یہ کرلیتے اس کہانی میں مر گیا ہوں میں کرچیاں کرچیاں ہیں چاروں طرف آئینہ تھا بکھر گیا ہوں میں جب سے نکلا ہوں گھر کے آنگن سے تب سے ہو دربدر گیا ہوں میں خوبصورت تھے آئینے کے ادھر عکس دیکھا تو ڈر گیا ہوں میں ہو زمیں پر نہ گرچہ رہنے کو گھر آسمانوں میں کر گیا ہوں میں تیری یادوں میں ڈوب کر جاناں بن فلک کا قمر گیا ہوں میں
English rendering
Ghusl-e-aakhir nikhar gaya hoon main Zeb-e-tan kafan kar gaya hoon main Tum yaqeen kyun nahin yeh kar lete Is kahani mein mar gaya hoon main Kirchiyaan kirchiyaan hain charon taraf Aaina tha bikhar gaya hoon main Jab se nikla hoon ghar ke aangan se Tab se ho darbadar gaya hoon main Khoobsurat the aaine ke idhar Aks dekha to dar gaya hoon main Ho zameen par na garcha rehne ko Ghar aasmanon mein kar gaya hoon main Teri yaadon mein doob kar jaanaan Ban falak ka Qamar gaya hoon main