وہ لڑکی
سنا ہے چمن کا گلاب تھی وہ لڑکی سنا ہے فلک کا مہتاب تھی وہ لڑکی سنا ہے جب وه مسکراتی تھی چاکور چاند کو چھوڑ کر اسکی طرف اڑتا تھا سنا ہے اس کے شہر میں ایک لڑکا اسے بے پناہ چاہتا تھا اس پہ مرتا تھا سنا ہے تھوڑی سنگدل تھی وہ لڑکی سنا ہے اس لڑکے کو ملی ایک پل تھی وہ لڑکی سنا ہے اجاڑ بیٹھا ہے خود کو وہ لڑکا بے خبر رہتا ہے دنیا سے اس کے شہر میں وہ لڑکا سنا ہے ہر شب وہ چاند کو تکتا رہتا ہے پکارتا ہے اسکو ہر رات کی سحر میں وہ لڑکا سنا ہے اس شہر میں فاصلے پر ہیں اجڑے مزار دو سنا ہے ان مزاروں میں رہتی ہیں روحیں بیقرار دو سنا ہے بھول گئے ہیں اب لوگ داستاں ان کی سنا ہے ہوتی نہیں محفل میں ذکر بیاں ان کی
English rendering
Suna hai chaman ka gulab thi woh laṛki Suna hai falak ka mahtaab thi woh laṛki Suna hai jab woh muskurati thi Chakoor chand ko chhoṛ kar uski taraf uṛta tha Suna hai us ke shahar mein ek laṛka Use be-panah chahta tha us pe marta tha Suna hai thoṛi sangdil thi woh laṛki Suna hai us laṛke ko mili ek pal thi woh laṛki Suna hai ujaṛ baitha hai khud ko woh laṛka Be-khabar rehta hai duniya se us ke shahar mein woh laṛka Suna hai har shab woh chand ko takta rehta hai Pukarta hai usko har raat ki sahar mein woh laṛka Suna hai us shahar mein faasle par hain ujṛe mazaar do Suna hai un mazaron mein rehti hain roohein be-qarar do Suna hai bhool gaye hain ab log daastan un ki Suna hai hoti nahin mehfil mein zikr bayan un ki