جب خزاں آئے تو پتے نہ ثمر بچتا ہے
جب خزاں آئے تو پتے نہ ثمر بچتا ہے خالی جھولی لئے ویران شجر بچتا ہے نکتہ چیں شوق سے دن رات مرے عیب نکال کیونکہ جب عیب نکل جائیں ہنر بچتا ہے سارے ڈر بس اسی ڈر سے ہیں کہ کھو جائے نہ یار یار کھو جائے تو پھر کون سا ڈر بچتا ہے روز پتھراؤ بہت کرتے ہیں دنیا والے روز مر مر کے مرا خواب نگر بچتا ہے غم وہ رستہ ہے کہ شب بھر اسے طے کرنے کے باد صبح دم دیکھیں تو اتنا ہی سفر بچتا ہے بس یہی سوچ کے آیا ہوں تری چوکھٹ پر در بدر ہونے کے بعد اک یہی در بچتا ہے اب مرے عیب زدہ شہر کے شر سے صاحب شاذ و نادر ہی کوئی اہل ہنر بچتا ہے عشق وہ علم ریاضی ہے کہ جس میں فارس دو سے جب ایک نکالیں تو صفر بچتا ہے
English rendering
Jab khizāñ āye to patte na samar bachṭā hai Khālī jholī liye vīrān shajar bachṭā hai Nukta-chīñ shauq se din rāt mere aib nikāl Kyuñ-ki jab aib nikal jāeñ hunar bachṭā hai Sāre ḍar bas isī ḍar se haiñ ki kho jāe na yār Yār kho jāe to phir kaun sā ḍar bachṭā hai Roz pattharā'o bahut karte haiñ duniyā wāle Roz mar mar ke merā khwāb nagar bachṭā hai Gham vah rasta hai ki shab bhar use tai karne ke ba'ad Subah dam dekheñ to itnā hī safar bachṭā hai Bas yahī soch ke āyā huuñ terī chaukhaṭ par Dar ba-dar hone ke ba'ad ik yahī dar bachṭā hai Ab mere aib-zada shahar ke shar se sāhib Shāz o nādir hī koī ahl-e-hunar bachṭā hai Ishq vah ilm-e-riyāzī hai ki jis mein Fārisؔ Do se jab ek nikāleñ to sifar bachṭā hai