ہاتھ نہ آئی دنیا بھی اور عشق میں بھی گمنام رہے
ہاتھ نہ آئی دنیا بھی اور عشق میں بھی گمنام رہے سوچ کے اب شرمندہ ہیں کیوں دونوں میں ناکام رہے اب تک اس کے دم سے اپنی خوش فہمی تو قائم ہے اچھا ہے جو بات میں اس کی تھوڑا سا ابہام رہے ہم نے بھی کچھ نام کیا تھا ہم کو بھی اعزاز ملے عشق میں ہم بھی اک مدت تک مورد صد دشنام رہے میرے پاس تو اپنے لیے بھی اکثر کوئی وقت نہ تھا ہاں جو فراغت کے لمحے تھے تیری یاد کے نام رہے واقف حال تو ہے وہ اپنا منصف جانبدار سہی اس کے ہر انصاف کا لیکن میرے سر الزام رہے آج کا دن بھی بے مصرف سی سوچوں ہی میں بیت گیا آج کے دن بھی یوں ہی پڑے پھر گھر کے سارے کام رہے
English rendering
Haath na aayi duniya bhi aur ishq mein bhi gumnaam rahe Soch ke ab sharminda hain kyun donon mein nakaam rahe Ab tak us ke dam se apni khush-fehmi to qaim hai Achha hai jo baat mein us ki thoda sa ibhaam rahe Hum ne bhi kuch naam kiya tha hum ko bhi a'zaz mile Ishq mein hum bhi ik muddat tak mawrid-e-sad dushnaam rahe Mere paas to apne liye bhi aksar koi waqt na tha Haan jo faraghat ke lamhe the teri yaad ke naam rahe Waqif-e-haal to hai woh apna munsif jaanibdar sahi Us ke har insaaf ka lekin mere sar ilzaam rahe Aaj ka din bhi be-masraf si sochon hi mein beet gaya Aaj ke din bhi yun hi pade phir ghar ke saare kaam rahe