اک بے نام سی کھوج ہے دل کو جس کے اثر میں رہتے ہیں
اک بے نام سی کھوج ہے دل کو جس کے اثر میں رہتے ہیں ہم کاغذ کی ناؤ بنا کر روز سفر میں رہتے ہیں ہونے اور نہ ہونے کا اک برزخ ہے ہم جس میں ہیں جس میں شام گھلی رہتی ہے ایسی سحر میں رہتے ہیں اپنا تو اب اس دنیا سے کچھ ایسا ہی ناتا ہے جیسے نیند میں چلنے والے خواب نگر میں رہتے ہیں پستی اور بلندی کیا اب اپنے خواب ہیولے بھی گرد کی صورت اڑتے ہیں اور راہ گزر میں رہتے ہیں نیند نگر میں جا کر حور سے پہروں باتیں ہوتی ہیں کیسے کیسے خواب مرے دیوار و در میں رہتے ہیں ایک ہوا کے جھونکے ہی سے لرز گئے ہیں بام و در شبنمؔ ایسے لگتا ہے ہم ریت کے گھر میں رہتے ہیں
English rendering
Ik be-naam si khoj hai dil ko jis ke asar mein rehte hain Hum kaghaz ki nao bana kar roz safar mein rehte hain Hone aur na hone ka ik barzakh hai hum jis mein hain Jis mein shaam ghuli rehti hai aisi sehar mein rehte hain Apna to ab is duniya se kuch aisa hi naata hai Jaise neend mein chalne wale khwab nagar mein rehte hain Pasti aur bulandi kya ab apne khwab haule bhi Gard ki soorat udte hain aur raahguzar mein rehte hain Neend nagar mein ja kar hoor se pehron baaten hoti hain Kaise kaise khwab mere deewar-o-dar mein rehte hain Ek hawa ke jhonke hi se laraz gaye hain baam-o-dar Shabnam! aise lagta hai hum ret ke ghar mein rehte hain