ہوا کا زور ہی کافی بہانہ ہوتا ہے
ہوا کا زور ہی کافی بہانہ ہوتا ہے اگر چراغ کسی کو جلانا ہوتا ہے زبانی دعوے بہت لوگ کرتے رہتے ہیں جنوں کے کام کو کر کے دکھانا ہوتا ہے ہمارے شہر میں یہ کون اجنبی آیا کہ روز خواب سفر پہ روانہ ہوتا ہے کہ تو بھی یاد نہیں آتا یہ تو ہونا تھا گئے دنوں کو سبھی کو بھلانا ہوتا ہے اسی امید پہ ہم آج تک بھٹکتے ہیں ہر ایک شخص کا کوئی ٹھکانہ ہوتا ہے ہمیں اک اور بھری بزم یاد آتی ہے کسی کی بزم میں جب مسکرانا ہوتا ہے
English rendering
Hawa ka zor hi kaafi bahana hota hai Agar chiragh kisi ko jalana hota hai Zabani daawe bahut log karte rehte hain Junoon ke kaam ko kar ke dikhana hota hai Hamare shehar mein yeh kaun ajnabi aaya Ke roz khwab safar pe rawana hota hai Ke tu bhi yaad nahin aata yeh to hona tha Gaye dinon ko sabhi ko bhulana hota hai Isi umeed pe hum aaj tak bhatakte hain Har ek shakhs ka koi thikana hota hai Humein ik aur bhari bazm yaad aati hai Kisi ki bazm mein jab muskurana hota hai