اس نئے غم سے کنارہ بھی تو ہو سکتا ہے
اس نئے غم سے کنارہ بھی تو ہو سکتا ہے عشق پھر ہم کو دوبارہ بھی تو ہو سکتا ہے آپ اندازہ لگاتے رہیں بس جگنو کا مری مٹھی میں ستارہ بھی تو ہو سکتا ہے کیا ضروری ہے کہ یہ جان لٹا دی جائے اس کی یادوں پہ گزارا بھی تو ہو سکتا ہے دل کی بستی سے سر شام جو اٹھا ہے دھواں اچھے موسم کا اشارہ بھی تو ہو سکتا ہے آپ کو ہم سے محبت بھی تو ہو سکتی ہے اور محبت میں خسارہ بھی تو سکتا ہے یہ جو پھیلا ہے فلک تک شب ہجراں کا غبار مری وحشت کا نظارہ بھی تو ہو سکتا ہے ناظر وحید
English rendering
Is nae gham se kināra bhī to ho saktā hai Ishq phir ham ko dobāra bhī to ho saktā hai Aap andāza lagāte raheñ bas jugnū kā Mirī muṭṭhī mein sitāra bhī to ho saktā hai Kyā zarūrī hai ki ye jān luṭā dī jāe Us kī yādoñ pe guzāra bhī to ho saktā hai Dil kī bastī se sar-e-shām jo uṭhā hai dhuāñ Achhe mausam kā ishāra bhī to ho saktā hai Aap ko ham se muhabbat bhī to ho saktī hai Aur muhabbat mein khasāra bhī to saktā hai Ye jo phailā hai falak tak shab-e-hijrāñ kā ghubār Mirī vahshat kā nazāra bhī to ho saktā hai Nāzir Wahīd