جذبوں کو زبان دے رہا ہوں
جذبوں کو زبان دے رہا ہوں میں وقت کو دان دے رہا ہوں موسم نے شجر پہ لکھ دیا کیا ہر حرف پہ جان دے رہا ہوں یوں ہے نم خاک بن کے جیسے فصلوں کو اٹھان دے رہا ہوں جو جو بھی خمیدہ سر ہیں ان کے ہاتھوں میں کمان دے رہا ہوں کیسی حد جبر ہے یہ جس پر بے وقت اذان دے رہا ہوں اوقات مری یہی ہے ماجدؔ ہاری ہوئی لگان دے رہا ہوں ماجد صدیقی
English rendering
Jazboñ ko zabān de rahā huuñ Maiñ waqt ko dān de rahā huuñ Mausam ne shajar pe likh diyā kyā Har harf pe jān de rahā huuñ Yūñ hai nam khāk ban ke jaise Fasloñ ko uṭhān de rahā huuñ Jo jo bhī khamīda sar haiñ un ke Hāthoñ mein kamān de rahā huuñ Kaisī had-e-jabr hai ye jis par Be-waqt azān de rahā huuñ Auqāt mirī yahī hai Mājidؔ Hārī huī lagān de rahā huuñ Mājid Siddīqī