یہ تو لوگوں نے یونہی بات بنائی ہوئی ہے
یہ تو لوگوں نے یونہی بات بنائی ہوئی ہے کون کہتا ہے تری مجھ سے جدائی ہوئی ہے میں تو آنکھوں کو بھی پڑھنے کا ہنر جانتا ہوں تو نے اک بات کہیں مجھ سے چھپائی ہوئی ہے لوگ آتے ہیں مرے گھر کی زیارت کےلیے میں نے تصویر تری گھر میں لگائی ہوئی ہے یہ جو غم ہے نا ترے ہجر کا بکھرا ہوا غم ہم نے اس غم سے پرے کٹیا بسائی ہوئی ہے اب جو ہر بات ہواؤں نے بتائی ہے تجھے میں نے ہر بات ہواؤں کو سنائی ہوئی ہے میں اکیلا تو نہیں تیرا تصور ہے یہاں اور کمرے میں اداسی بھی بلائی ہوئی ہے ہم کہاں بکتے تھے ان وقت کے شاہوں کو کبھی تیری حسرت ہمیں بازار میں لائی ہوئی ہے
English rendering
Yeh toh logon ne yunhi baat banai hui hai Kaun kehta hai teri mujh se judai hui hai Main toh aankhon ko bhi padhne ka hunar jaanta hoon Tu ne ik baat kahin mujh se chhupai hui hai Log aate hain mere ghar ki ziyarat ke liye Main ne tasveer teri ghar mein lagai hui hai Yeh jo gham hai na tere hijr ka bikhra hua gham Hum ne is gham se pare kutiya basai hui hai Ab jo har baat hawaon ne batai hai tujhe Main ne har baat hawaon ko sunai hui hai Main akela toh nahin, tera tasawwur hai yahan Aur kamre mein udasi bhi bulai hui hai Hum kahan bikte the un waqt ke shahon ko kabhi Teri hasrat humein bazaar mein lai hui hai