آفتاب حسین

آفتاب حسین

شاعر — Aftab Hussain

تعارف شاعری

قدم قدم پہ کسی امتحاں کی زد میں ہے

قدم قدم پہ کسی امتحاں کی زد میں ہے زمین اب بھی کہیں آسماں کی زد میں ہے ہر ایک گام الجھتا ہوں اپنے آپ سے میں وہ تیر ہوں جو خود اپنی کماں کی زد میں ہے وہ بحر ہوں جو خود اپنے کنارے چاٹتا ہے وہ لہر ہوں کہ جو سیل رواں کی زد میں ہے میں اپنی ذات پہ اصرار کر رہا ہوں مگر یقیں کا کھیل مسلسل گماں کی زد میں ہے مرے وجود کے اندر اترتا جاتا ہے ہے کوئی زہر جو میری زباں کی زد میں ہے لگی ہوئی ہے نظر آنے والے منظر پر مگر یہ دل کہ ابھی رفتگاں کی زد میں ہے یہی نہیں کہ فقط رزق خواب بند ہوا گدائے کوئے ہنر بھی سگاں کی زد میں ہے افق افق جو مرے نور کا غبار اڑا یہ کائنات مرے خاکداں کی زد میں ہے

— آفتاب حسین

English rendering

Qadam qadam pe kisi imtehan ki zad mein hai Zameen ab bhi kahin aasman ki zad mein hai Har ek gaam ulajhta hoon apne aap se main Woh teer hoon jo khud apni kamaan ki zad mein hai Woh bahr hoon jo khud apne kinare chaaṭta hai Woh lahar hoon ke jo sail-e-rawan ki zad mein hai Main apni zaat pe israr kar raha hoon magar Yaqeen ka khel musalsal gumaan ki zad mein hai Mere wajood ke andar utarta jaata hai Hai koi zehar jo meri zabaan ki zad mein hai Lagi hui hai nazar aane wale manzar par Magar yeh dil ke abhi raftagaan ki zad mein hai Yehi nahin ke faqat rizq-e-khwab band hua Gada-e-kuye hunar bhi sagan ki zad mein hai Ufaq ufaq jo mere noor ka ghubar uṛa Yeh kainat mere khaakdan ki zad mein hai

‹ کلام کی فہرست پر واپس