رنگ سے اڑتے ہیں اور روشنی آواز میں ہے
رنگ سے اڑتے ہیں اور روشنی آواز میں ہے تیری آواز بھی شامل مری آواز میں ہے ہائے وہ حسن کہ کھولے سے بھی کھلنے کا نہیں کبھی تصویر کی صورت کبھی آواز میں ہے دل کے خاموش سمندر میں اٹھی پھر کوئی لہر اور ایک شکل سی بنتی ہوئی آواز میں ہے بات کرنے کو زباں کھولی جب اس نے تو کھلا اپنا اپنا سا کوئی اجنبی آواز میں ہے نبض ایام کی اس لرزش پیہم کا سبب یا مرے ساز میں ہے یا تری آواز میں ہے کبھی ہاتھ آئے تو چھو کر بھی اسے دیکھا جائے کوئی خوشبو ہے کہ اڑتی ہوئی آواز میں ہے بات کرتا ہوں جھجھکتا ہوں ٹھہر جاتا ہوں شبہ سا ہے کہ کمی کچھ مری آواز میں ہے ایک ہی بات ہے دیکھو مجھے یا مجھ کو سنو میرا بکھراؤ مری گونجتی آواز میں ہے
English rendering
Rang se udte hain aur roshni awaz mein hai Teri awaz bhi shamil meri awaz mein hai Haaye woh husn ke khule se bhi khulne ka nahin Kabhi tasveer ki soorat kabhi awaz mein hai Dil ke khamosh samandar mein uthi phir koi lehar Aur ek shakal si banti hui awaz mein hai Baat karne ko zaban kholi jab us ne to khula Apna apna sa koi ajnabi awaz mein hai Nabz-e-ayyam ki us larzish-e-paiham ka sabab Ya mere saaz mein hai ya teri awaz mein hai Kabhi hath aaye to chhoo kar bhi use dekha jaaye Koi khushboo hai ke udti hui awaz mein hai Baat karta hoon jhijjhakta hoon thehar jata hoon Shuba sa hai ke kami kuch meri awaz mein hai Ek hi baat hai dekho mujhe ya mujh ko suno Mera bikhrao meri goonjti awaz mein hai