شیخ نے ناقوس کے سر میں جو خود ہی تان لی
شیخ نے ناقوس کے سر میں جو خود ہی تان لی پھر تو یاروں نے بھجن گانے کی کھل کر ٹھان لی مدتوں قائم رہیں گی اب دلوں میں گرمیاں میں نے فوٹو لے لیا اس نے نظر پہچان لی رو رہے ہیں دوست میری لاش پر بے اختیار یہ نہیں دریافت کرتے کس نے اس کی جان لی میں تو انجن کی گلے بازی کا قائل ہو گیا رہ گئے نغمے حدی خوانوں کے ایسی تان لی حضرت اکبرؔ کے استقلال کا ہوں معترف تابہ مرگ اس پر رہے قائم جو دل میں ٹھان لی
English rendering
Shaikh ne nāqūs ke sar meñ jo khud hī tān lī Phir to yāroñ ne bhajan gāne kī khul kar ṭhān lī Muddateñ qāim raheñgī ab diloñ meñ garmiyāñ Maiñ ne photo le liyā us ne nazar pehchān lī Ro rahe haiñ dost merī lāsh par be-ikhtiyār Ye nahīñ daryāft karte kis ne us kī jān lī Maiñ to injan kī gale bāzī kā qāil ho gayā Rah ga'e naghme hadī khwānoñ ke aisī tān lī Hazrat Akbar ke isteqlāl kā hūñ mu'tarif Tā ba-marg is par rahe qāim jo dil meñ ṭhān lī