امید ٹوٹی ہوئی ہے میری جو دل مرا تھا وہ مر چکا ہے
امید ٹوٹی ہوئی ہے میری جو دل مرا تھا وہ مر چکا ہے جو زندگانی کو تلخ کر دے وہ وقت مجھ پر گزر چکا ہے اگرچہ سینے میں سانس بھی ہے نہیں طبیعت میں جان باقی اجل کو ہے دیر اک نظر کی فلک تو کام اپنا کر چکا ہے غریب خانے کی یہ اداسی یہ نا درستی نہیں قدیمی چہل پہل بھی کبھی یہاں تھی کبھی یہ گھر بھی سنور چکا ہے یہ سینہ جس میں یہ داغ میں اب مسرتوں کا کبھی تھا مخزن وہ دل جو ارمان سے بھرا تھا خوشی سے اس میں ٹھہر چکا ہے غریب اکبر کے گرد کیوں میں خیال واعظ سے کوئی کہہ دے اسے ڈراتے ہو موت سے کیا وہ زندگی ہی سے ڈر چکا ہے
English rendering
Umeed ṭūṭī huī hai merī jo dil merā thā woh mar chukā hai Jo zindagānī ko talkh kar de woh waqt mujh par guzar chukā hai Agarche sīne meñ sāñs bhī hai nahīñ tabī'at meñ jān bāqī Ajal ko hai der ek nazar kī falak to kām apnā kar chukā hai Ghareeb khāne kī ye udāsī ye nā-durustī nahīñ qadeemī Chahal-pahal bhī kabhī yahāñ thī kabhī ye ghar bhī sanwar chukā hai Ye sīnah jis meñ ye dāgh meñ ab masarratoñ kā kabhī thā makhzan Woh dil jo armān se bharā thā khushī se us meñ ṭhahar chukā hai Ghareeb Akbar ke gird kyūñ maiñ khayāl wāiz se koī keh de Use ḍarāte ho maut se kyā woh zindagī hī se ḍar chukā hai