انہیں نگاہ ہے اپنے جمال ہی کی طرف
انہیں نگاہ ہے اپنے جمال ہی کی طرف نظر اٹھا کے نہیں دیکھتے کسی کی طرف توجہ اپنی ہو کیا فن شاعری کی طرف نظر ہر ایک کی جاتی ہے عیب ہی کی طرف لکھا ہوا ہے جو رونا مرے مقدر میں خیال تک نہیں جاتا کبھی ہنسی کی طرف تمہارا سایہ بھی جو لوگ دیکھ لیتے ہیں وہ آنکھ اٹھا کے نہیں دیکھتے پری کی طرف بلا میں پھنستا ہے دل مفت جان جاتی ہے خدا کسی کو نہ لے جائے اس گلی کی طرف کبھی جو ہوتی ہے تکرار غیر سے ہم سے تو دل سے ہوتے ہو در پردہ تم اسی کی طرف نگاہ پڑتی ہے ان پر تمام محفل کی وہ آنکھ اٹھا کے نہیں دیکھتے کسی کی طرف نگاہ اس بت خود بیں کی ہے مرے دل پر نہ آئنہ کی طرف ہے نہ آرسی کی طرف قبول کیجیئے للہ تحفۂ دل کو نظر نہ کیجیئے اس کی شکستگی کی طرف یہی نظر ہے جو اب قاتل زمانہ ہوئی یہی نظر ہے کہ اٹھتی نہ تھی کسی کی طرف غریب خانہ میں للٰلہ دو گھڑی بیٹھو بہت دنوں میں تم آئے ہو اس گلی کی طرف ذرا سی دیر ہی ہو جائے گی تو کیا ہوگا گھڑی گھڑی نہ اٹھاؤ نظر گھڑی کی طرف جو گھر میں پوچھے کوئی خوف کیا ہے کہہ دینا چلے گئے تھے ٹہلتے ہوئے کسی کی طرف ہزار جلوۂ حسن بتاں ہو اے اکبرؔ تم اپنا دھیان لگائے رہو اسی کی طرف
English rendering
Unheñ nigāh hai apne jamāl hī kī taraf Nazar uṭhā ke nahīñ dekhte kisī kī taraf Tawajjuh apnī ho kyā fan-e-shā'irī kī taraf Nazar har ek kī jātī hai aib hī kī taraf Likhā huā hai jo ronā mere muqaddar meñ Khayāl tak nahīñ jātā kabhī hañsī kī taraf Tumhārā sāyah bhī jo log dekh lete haiñ Woh āñkh uṭhā ke nahīñ dekhte parī kī taraf Balā meñ phañstā hai dil muft jān jātī hai Khudā kisī ko na le jāye us galī kī taraf Kabhī jo hotī hai takrār ghair se ham se To dil se hote ho dar-pardah tum usī kī taraf Nigāh paṛtī hai un par tamām mehfil kī Woh āñkh uṭhā ke nahīñ dekhte kisī kī taraf Nigāh us but-e-khud-bīñ kī hai mere dil par Na ā'īnah kī taraf hai na ārsī kī taraf Qabool kīji'e lillah tuhfa-e-dil ko Nazar na kīji'e us kī shikastagī kī taraf Yehī nazar hai jo ab qātil-e-zamānah huī Yehī nazar hai ke uṭhtī na thī kisī kī taraf Ghareeb khānah meñ lillah do ghaṛī baiṭho Bahut dinoñ meñ tum āye ho us galī kī taraf Zarā sī der hī ho jā'egī to kyā hogā Ghaṛī ghaṛī na uṭhāo nazar ghaṛī kī taraf Jo ghar meñ pūchhe koī khauf kyā hai keh denā Chale ga'e the ṭahalte hue kisī kī taraf Hazār jalwah-e-husn-e-butāñ ho ae Akbar Tum apnā dhyān lagāye raho usī kī taraf