عروس البلاد
وسیع شہر میں اک چیخ کیا سنائی دے بسوں کے شور میں ریلوں کی گڑگڑاہٹ میں چہل پہل میں بھڑوں جیسی بھنبھناہٹ میں کسی کو پکڑو سر راہ مار دو چاہے کسی عفیفہ کی عصمت اتار دو چاہے! وسیع شہر میں اک چیخ کیا سنائی دے! عظیم شہر بڑے کاموں کے لیے ہیں میاں وزیر اعلی کی تقریر، لیڈروں کے جلوس سیاستوں کے مظاہر، خلوص بہر خلوص یہ رت جگوں کی جگہ، ناؤ نوش کا گڑھ ہے یہ تم سے کس نے کہا علم و ہوش کا گڑھ ہے ابھی ابھی شہ قفقاز آئے ہیں دیکھو معززین عروس البلاد سب مل کر سپاس نامہ انہیں اس طرح کریں گے پیش کہ جیسے دل کی کلی پھول ہو گئی کھل کر پھر اس کے بعد کسی بینک کے بڑے کرتا کوئی صفیر کسی دیش کے نئے مکھیا مشیر صنعتی منصوبہ بندیوں کے لیے جتن ثقافتی آئینہ سازیوں کے لیے بڑے پلان، بڑی یوجنا، بڑی باتیں ضیافتیں، بڑے ہوٹل، بڑی بڑی گھاتیں! عظیم شہر بڑے کاموں کے لیے ہے میاں! یہاں مزار ہیں ان کے بھی جن کے نام نہیں سنہری شہر کی تسخیر کرنے آئے تھے انہیں شکم سے بہت دور آگے جانا تھا وہ اس جہان کی تعمیر کرنے آئے تھے! بڑے دماغ تھے طباع تھے ذہین تھے سب مگر سیاست دنیا میں کم ترین تھے سب عظیم شہر بڑے کاموں کے لیے ہیں میاں شکست دل کوئی راکٹ ہے جو دکھائی دے عظیم شہر میں اک چیخ کیا سنائی دے!
English rendering
Vasī' shehar mein ik chīkh kyā sunāī de Buson ke shor mein, railoñ kī gaṛgaṛāhaṭ mein Chahal pahal mein bhaṛoñ jaisī bhun-bhunāhaṭ mein Kisī ko pakaṛo sar-e-rāh, mār do chāhe Kisī afīfa kī ismat utār do chāhe! Vasī' shehar mein ik chīkh kyā sunāī de! Azīm shehar baṛe kāmon ke li'e hain miyāñ Wazīr-e-a'alā kī taqrīr, līderon ke juloos Siyāsatoñ ke mazāhir, khuloos ba-har khuloos Ye ratjagoñ kī jagah, nao-nosh ka gaṛh hai Ye tum se kis ne kahā ilm-o-hosh kā gaṛh hai Abhī abhī Shah Qafqāz āe hain, dekho Mu'azzizīn-e-Arūs-ul-Bilād sab mil kar Sipās nāma inheñ is tarah kareñge pesh Ke jaise dil kī kalī phool ho ga'ī khil kar Phir us ke ba'ad kisī bank ke baṛe kartā Koī safīr kisī desh ke naye mukhiyā Mushīr san'atī mansūba bandiyoñ ke li'e Jatan saqāftī ā'īn sāziyoñ ke li'e Baṛe plan, baṛī yojnā, baṛī bātein Ziyāfateiñ, baṛe hotel, baṛī baṛī ghātein! Azīm shehar baṛe kāmon ke li'e hai miyāñ! Yahāñ mazār hain un ke bhī jin ke nām nahīñ Sunahrī shehar kī taskhīr karne āe the Inheñ shikam se bahut door āge jānā thā Wo is jahān kī ta'amīr karne āe the! Baṛe dimāgh the Tabbā' thī, zahīn the sab Magar siyāsat duniyā mein kam-tarīn the sab Azīm shehar baṛe kāmon ke li'e hain miyāñ Shikast-e-dil koī rākat hai jo dikhāī de Azīm shehar mein ik chīkh kyā sunāī de!