فاصلہ
ہوائیں لے گئیں وہ خاک بھی اڑا کے جسے کبھی تمہارے قدم چھو گئے تھے اور میں نے یہ جی سے چاہا تھا دامن میں باندھ لوں گا اسے سنا تھا میں نے کبھی یوں ہوا ہے دنیا میں کہ آگ لینے گئے اور پیمبری پائی کبھی زمیں نے سمندر اگل دیے لیکن بھنور ہی لے گئے کشتی بچا کے طوفاں سے میں سوچتا ہوں پیمبر نہیں اگر نہ سہی کہ اتنا بوجھ اٹھانے کی مجھ میں تاب نہ تھی مگر یہ کیوں نہ ہوا غم ملا تھا دوری کا تو حوصلہ بھی ملا ہوتا سنگ و آہن سا مگر خدا کو یہ سب سوچنے کا وقت کہاں؟
English rendering
Hawāeñ le gaīñ wo khāk bhī uṛā ke jise Kabhī tumhāre qadam chū ga'e the aur maiñ ne Ye jī se chāhā thā dāman mein bāndh lūñgā use Sunā thā maiñ ne kabhī yūñ huā hai duniyā mein Ke āg lene ga'e aur payambari pāī Kabhī zamīn ne samandar ugal diye lekin Bhanwar hī le ga'e kashtī bachā ke tūfāñ se Maiñ sochta huuñ payambar nahīñ agar na sahī Ke itnā bojh uṭhāne kī mujh mein tāb na thī Magar ye kyoñ na huā gham milā thā dūrī kā To hausla bhī milā hotā sang-o-āhan sā Magar khudā ko ye sab sochne kā waqt kahāñ?