سبزۂ بیگانہ
حسب نسب ہے نہ تاریخ و جائے پیدائش کہاں سے آیا تھا مذہب نہ ولدیت معلوم مقامی چھوٹے سے خیراتی اسپتال میں وہ کہیں سے لایا گیا تھا وہاں یہ ہے مرقوم مریض راتوں کو چلاتا ہے ''مرے اندر اسیر زخمی پرندہ ہے اک، نکالو اسے گلو گرفتہ ہے یہ حبس دم ہے خائف ہے ستم رسیدہ ہے مظلوم ہے بچا لو اسے'' مریض چیختا ہے درد سے کراہتا ہے یہ وتنام، کبھی ڈومنیکن، کبھی کشمیر زر کثیر، سیہ قومیں، خام معدنیات کثیف تیل کے چشمے، عوام، استحصال زمیں کی موت بہائم، فضائی جنگ، ستم اجارہ داری، سبک گام، دل ربا، اطفال سرود و نغمہ، ادب، شعر، امن، بربادی جنازہ عشق کا، دف کی صدائیں، مردہ خیال ترقی، علم کے گہوارے، روح کا مدفن خدا کا قتل، عیاں زیر ناف زہرہ جمال تمام رات یہ بے ربط باتیں کرتا ہے مریض سخت پریشانی کا سبب ہے یہاں غرض کہ جو تھا شکایت کا ایک دفتر تھا نتیجہ یہ ہے اسی روز منتقل کرکے اسے اک اور شفا خانے کو روانہ کیا سنا گیا ہے وہاں نفسیات کے ماہر طبیب حاذق و نباض ڈاکٹر کتنے طلب کیے گئے اور سب نے اتفاق کیا یہ کوئی ذہنی مرض ہے، مریض نے شاید کبھی پرندہ کوئی پالا ہوگا لیکن وہ عدم توجہی یا اتفاق سے یونہی بچارہ مر گیا اس موت کا اثر ہے یہ عجیب چیز ہے تحت شعور انساں کا یہ اور کچھ نہیں احساس جرم ہے جس نے دل و دماغ پہ قبضہ کیا ہے اس درجہ مریض قاتل و مجرم سمجھتا ہے خود کو! کسی کی رائے تھی پسماندہ قوم کا اک فرد مریض ہوگا اسی واسطے سیہ قومیں غریب کے لیے اک ٹیبو بن گئیں افسوس کوئی یہ کہتا تھا یہ اصل میں ہے حب وطن مریض چاہتا تھا ہم کفیل ہوں اپنے کسی بھی قوم کے آگے نہ ہاتھ پھیلائیں یہیں پہ تیل کے چشمے ہیں، وہ کریں دریافت! گمان کچھ کو تھا یہ شخص کوئی شاعر ہے جو چاہتا تھا جہاں گردی میں گزارے وقت حسین عورتیں مائل ہوں لطف و عیش رہے قلم کے زور سے شہرت ملے زمانے میں زر کثیر بھی ہاتھ آئے اس بہانے سے مگر غریب کی سب کوششیں گئیں ناکام شکست پیہم و احساس نارسائی نے یہ حال کر دیا مجروح ہوگئے اعصاب غرض کہ نکتہ رسی میں گزر گیا سب وقت وہ چیختا ہی رہا درد کی دوا نہ ملی نشست بعد نشست اور معائنے شب و روز انہیں میں وقت گزرتا گیا شفا نہ ملی پھر ایک شام وہاں سرمہ در گلو آئی جو اس کے واسطے گویا طبیب حاذق تھی کسی نے پھر نہ سنی درد سے بھری آواز کراہتا تھا جو خاموش ہو گیا وہ ساز برس گزر گئے اس واقعہ کو، ماضی کی اندھیری گود نے کب کا چھپا لیا اس کو مگر سنا ہے شفا خانے کے در و دیوار وہ گرد و پیش جہاں سے کبھی وہ گزرا تھا خرابے بستیاں جنگل، اجاڑ راہ گزار اسی کی چیخ کو دہرائے جا رہے ہیں ابھی ''کوئی مداوا کرو ظالمو مرے اندر اسیر زخمی پرندہ ہے اک نکالو اسے گلو گرفتہ ہے یہ حبس دم ہے خائف ہے ستم رسیدہ ہے مظلوم ہے بچا لو اسے''
English rendering
Hasab nasab hai na tārīkh-o-jā-e-paidāish Kahāñ se āyā thā mazhab na waladiyat ma'alūm Maqāmī chhoṭe se khairātī aspātāl mein wo Kahīñ se lāyā gayā thā wahāñ ye hai marqoom Marīz rāton ko chillātā hai "Mere andar Asīr zakhmi parinda hai ik, nikālo use Gulū-girifta hai ye habs-e-dam hai, khāif hai Sitam rasīda hai, mazlūm hai, bachā lo use" Marīz chīkhtā hai dard se karāhtā hai Ye Vietnam, kabhī Dominican, kabhī Kashmir Zar-e-kasīr, siyah qaumein, khām ma'adniyāt Kasīf tel ke chashme, awām, istehsāl Zamīn kī maut-e-bahā'im, fazā'ī jang, sitam Ijāra-dārī, subuk-gām, dil-rubā, atfāl Sarūd-o-naghma, adab, she'r, amn, barbādī Janāza-e-ishq kā, daf kī sadāeñ, murda khayāl Taraqqī, ilm ke gahwāre, rūh kā madfan Khudā kā qatl, ayāñ zer-e-nāf-e-zuhra jamāl Tamām raat ye be-rabt bātein kartā hai Marīz sakht pareshānī kā sabab hai yahāñ Gharaz ke jo thā shikāyat kā ek daftar thā Natīja ye hai isī roz muntaqil kar ke Use ik aur shifā-khāne ko rawāna kiyā Sunā gayā hai wahāñ nafsiyāt ke māhir Tabīb-e-hāziq-o-nabbāz Doctor kitne Talab kiye ga'e aur sab ne ittifāq kiyā Ye koī zehnī marz hai, marīz ne shāyad Kabhī parinda koī pālā hogā lekin wo Adam tawajjohī yā ittifāq se yūnhī Bichāra mar gayā, is maut kā asar hai ye Ajīb chīz hai taht-e-sha'oor insān kā Ye aur kuchh nahīñ, ehsās-e-jurm hai jis ne Dil-o-dimāgh pe qabza kiyā hai is darja Marīz qātil-o-mujrim samajhtā hai khud ko! Kisī kī rā'e thī pasmānda qaum kā ik fard Marīz hogā isī wāste siyah qaumein Gharīb ke li'e ik ṭebū ban ga'īñ, afsos Koī ye kahtā thā ye asl mein hai hubb-e-watan Marīz chāhtā thā ham kafīl hoñ apne Kisī bhī qaum ke āge na hāth phailāeñ Yahīñ pe tel ke chashme hain, wo kareñ daryāft! Gumān kuchh ko thā ye shakhs koī shā'ir hai Jo chāhtā thā jahān-gardī mein guzāre waqt Hasīn aurtein mā'il hoñ, lutf-o-aish rahe Qalam ke zor se shohrat mile zamāne mein Zar-e-kasīr bhī hāth āe is bahāne se Magar gharīb kī sab koshisheñ ga'īñ nākām Shikast-e-paiham-o-ehsās-e-nārasā'ī ne Ye hāl kar diyā, majrūh ho ga'e a'asāb Gharaz ke nukta-rasī mein guzar gayā sab waqt Wo chīkhtā hī rahā, dard kī davā na milī Nishast ba'ad nishast aur mu'āyane shab-o-roz Inhīñ mein waqt guzartā gayā, shifā na milī Phir ek shām wahāñ surma dar gulū āī Jo us ke wāste goyā tabīb-e-hāziq thī Kisī ne phir na sunī dard se bharī āwāz Karāhtā thā jo khāmosh ho gayā wo sāz Baras guzar ga'e is wāqia ko, māzī kī Andherī god ne kab kā chhupā liyā us ko Magar sunā hai shifā-khāne ke dar-o-dīwār Wo gard-o-pesh jahāñ se kabhī wo guzarā thā Kharābe bastiyāñ jangal, ujāṛ rāh-guzār Isī kī chīkh ko duhrāe jā rahe hain abhī "Koī mudāvā karo zālimo, mere andar Asīr zakhmi parinda hai ik, nikālo use Gulū-girifta hai ye habs-e-dam hai, khāif hai Sitam rasīda hai, mazlūm hai, bachā lo use"