درد پا ہوگا شکست کاسۂ سر کا جواب
درد پا ہوگا شکست کاسۂ سر کا جواب غافلوں کو دے گی میری لاش ٹھوکر کا جواب شوق سے لکھیں مرے عصیاں فرشتے رات دن ایک رحمت اس کی ہے اس سارے دفتر کا جواب ایک دن وہ میرے گھر ہے ایک دن وہ اس کے گھر غیر کی قسمت بھی ہے میرے مقدر کا جواب جب میں کہتا ہوں کہو گے کیا خدا کے سامنے کہتے ہیں تم کو بتا دیں روز محشر کا جواب نرم دل سے نرم دل ہیں سخت گو سے سخت گو شیشے کا شیشہ یہاں پتھر ہے پتھر کا جواب اس نے خط بھیجا جو مجھ کو ڈاک پر ڈاکہ پڑا یار کیا کرتا نہ تھا میرے مقدر کا جواب منہ چڑھاؤ اور کا تیوری چڑھاؤ اور پر آئینہ ہوں منہ پہ دوں گا میں برابر کا جواب پھینک دو خط لکھ کے قاصد سے جو تم بیزار ہو اڑ کے آئے گا جو ہے میرے مقدر کا جواب منہ کی کھائی سیکڑوں بال آئنہ میں پڑ گئے لے کے آیا تھا تری زلف معنبر جو جواب
English rendering
Dard-e-pā hogā shikast-e-kāsa-e-sar kā javāb Ghāfiloñ ko degī merī lāsh ṭhokar kā javāb Shauq se likheñ mere 'isyāñ firishte rāt din Ek rahmat us kī hai us sāre daftar kā javāb Ek din vo mere ghar hai ek din vo us ke ghar Ghair kī qismat bhī hai mere muqaddar kā javāb Jab maiñ kahtā huuñ kahoge kyā khudā ke sāmnē Kahte haiñ tum ko batā deñ roz-e-mahshar kā javāb Narm dil se narm dil haiñ sakht-go se sakht-go Shīshe kā shīsha yahāñ patthar hai patthar kā javāb Us ne khaṭ bheja jo mujh ko ḍāk par ḍākā paṛā Yār kyā kartā na thā mere muqaddar kā javāb Muñh chaṛhāo aur kā tevarī chaṛhāo aur par Ā'īna huuñ muñh pe dūñgā maiñ barābar kā javāb Pheiñk do khaṭ likh ke qāsid se jo tum bezār ho Uṛ ke ā'egā jo hai mere muqaddar kā javāb Muñh kī khā'ī saikṛoñ bāl ā'īna mein paṛ ga'e Le ke āyā thā tarī zulf-e-m'anbar jo javāb