جب سے باندھا ہے تصور اس رخ پر نور کا
جب سے باندھا ہے تصور اس رخ پر نور کا سارے گھر میں نور پھیلا ہے چراغ طور کا بخت واژوں سے جلے کیوں دل نہ مجھ محرور کا مرہم کافور سے منہ آ گیا ناسور کا اس قدر مشتاق ہوں زاہد خدا کے نور کا بت بھی بنوایا کبھی میں نے تو سنگ طور کا تجھ کو لائے گھر میں جنت کو جلایا رشک سے ہم بغل تجھ سے ہوئے پہلو دبایا حور کا گور کافر کس لیے ہے تیرہ و تار اس قدر پڑ گیا سایہ مگر میری شب دیجور کا حسن یوسف اور تیرے حسن میں اتنا ہے فرق چوٹ یہ نزدیک کی ہے وار تھا وہ دور کا قصر تن بگڑا کسی کا گورکن کی بن پڑی گھر کسی کا گر پڑا گھر بن گیا مزدور کا چہرۂ جاناں سے شرما کر چھپایا خلد میں خامۂ تقدیر نے کھینچا جو نقشہ حور کا حاجت مشاطہ کیا رخسار روشن کے لیے دیکھ لو گل کاٹتا ہے کون شمع طور کا زلف و روئے یار سے نیرنگ قدرت ہے عیاں مہر کے پنجے میں ہے دامن شب دیجور کا خاکساری کر جو ہو منظور آنکھوں میں جگہ خاک ہو کر سرمہ بن جاتا ہے پتھر طور کا غافلوں کے کان کب کھلتے ہیں سن کر شور حشر سونے والوں کو جگا سکتا نہیں غل دور کا پوچھ لینا سب وطن کا حال اے اہل عدم بیٹھ لینے دو ذرا آتا ہوں اٹھا دور کا عجز کرتے ہیں عدوئے جان سے بھی خاصان حق جھک گیا سر آگے پائے دار پر منصور کا موت کیا آئی تپ فرقت سے صحت ہو گئی دم نکلنے سے بدن ٹھنڈا ہوا رنجور کا جاتے ہیں مے خانۂ عالم سے ہم سوئے عدم کہہ دو ازخود رفتگی سے ہے ارادہ دور کا موذیوں کو حادثوں سے دہر کے کیا خوف ہے بارش باراں سے گھر گرتا نہیں زنبور کا چشم ساغر بے سبب ہر دم لہو روتی نہیں مغبچوں سے ساقیا دل پھٹ گیا انگور کا جاتے ہیں مے خانۂ عالم سے ہم سوئے عدم کہہ دو ازخود رفتگی سے ہے ارادہ دور کا کی نظر جس پر کدورت سے رہا خاموش وہ ہے اثر گرد نگاہ یار میں سیندور کا جلوۂ معشوق ہر جا ہے بصیرت ہو اگر کرمک شب تاب میں عالم ہے شمع طور کا مر کے یاران عدم کے پاس پہنچوں گا امیرؔ چلتے چلتے جان جائے گی سفر ہے دور کا
English rendering
Jab se bāñdhā hai tasavvur us rukh-e-pur-nūr kā Sāre ghar mein nūr phailā hai chirāgh-e-tūr kā Bakht vāzhoñ se jale kyuuñ dil na mujh mehrūr kā Marham kāfūr se muñh aa gayā nāsūr kā Is qadar mushtāq huuñ zāhid khudā ke nūr kā But bhī banvāyā kabhī maiñ ne to sañg-e-tūr kā Tujh ko lā'e ghar mein jannat ko jalāyā rashk se Ham baghal tujh se hu'e pahlu dabāyā hūr kā Gor-e-kāfir kis li'e hai tīra-o-tār is qadar Paṛ gayā sāya magar merī shab-e-dījor kā Husn-e-Yūsuf aur tere husn mein itnā hai farq Choṭ ye nazdīk kī hai vār thā vo dūr kā Qasr-e-tan bigṛā kisī kā gor-kan kī ban paṛī Ghar kisī kā gir paṛā ghar ban gayā mazdūr kā Chehra-e-jānāñ se sharmā kar chhupāyā khuld mein Khāma-e-taqdīr ne khīñchā jo naqsha hūr kā Hājat-e-mashshāṭa kyā rukhsār-e-raushan ke li'e Dekh lo gul kāṭtā hai kaun sham'-e-tūr kā Zulf-o-rū-e-yār se nairang-e-qudrat hai 'ayāñ Mehr ke pañje mein hai dāman-e-shab-e-dījor kā Khāksārī kar jo ho manzūr āñkhoñ mein jaga Khāk ho kar surma ban jātā hai patthar-e-tūr kā Ghāfiloñ ke kān kab khulte haiñ sun kar shor-e-hashr Sone vāloñ ko jagā saktā nahīñ ghul dūr kā Pūchh lenā sab vatan kā hāl ai ahl-e-'adam Baiṭh lene do zarā ātā huuñ uṭhā dūr kā Ajz karte haiñ 'adū-e-jāñ se bhī khāsān-e-haq Jhuk gayā sar aage pā-e-dār par Mansūr kā Maut kyā ā'ī tap-e-furqat se sehat ho ga'ī Dam nikalne se badan ṭhanḍā huā ranjūr kā Jāte haiñ mai-khāna-e-'ālam se ham sū-e-'adam Kah do az-khud-raftagī se hai irāda dūr kā Mūziyoñ ko hādisoñ se dahr ke kyā khauf hai Bārish-e-bārāñ se ghar girtā nahīñ zanbūr kā Chashm-e-sāghar be-sabab har dam lahū rotī nahīñ Mugh-bachoñ se sāqiyā dil phaṭ gayā añgūr kā Jāte haiñ mai-khāna-e-'ālam se ham sū-e-'adam Kah do az-khud-raftagī se hai irāda dūr kā Kī nazar jis par kudūrat se rahā khāmosh vo Hai asar gard-e-nigāh-e-yār mein sindūr kā Jalva-e-ma'shūq har jā hai basīrat ho agar Kirmak-e-shab-tāb mein 'ālam hai sham'-e-tūr kā Mar ke yārān-e-'adam ke pās pahuñchūñgā Amīrؔ Chalte chalte jān jā'egī safar hai dūr kā