امیر مینائی

امیر مینائی

شاعر — Ameer Meenai

تعارف شاعری

قبلۂ دل کعبۂ جاں اور ہے

قبلۂ دل کعبۂ جاں اور ہے سجدہ گاہ اہل عرفاں اور ہے ہو کے خوش کٹواتے ہیں اپنے گلے عاشقوں کی عید قرباں اور ہے روز و شب یاں ایک سی ہے روشنی دل کے داغوں کا چراغاں اور ہے خار دکھلاتی ہے پھولوں کی بہار بلبلو اپنا گلستاں اور ہے قید میں آرام آزادی وبال ہم گرفتاروں کا زنداں اور ہے بحر الفت میں نہیں کشتی کا کام نوح سے کہہ دو یہ طوفاں اور ہے کس کا اندیشہ ہے برق و سیل سے اپنے خرمن کا نگہباں اور ہے درد وہ دل میں وہ سینہ پر ہے داغ جس کا مرہم جس کا درماں اور ہے کعبہ رو محراب ابرو اے امیرؔ اپنی طاعت اپنا ایماں اور ہے

— امیر مینائی

English rendering

Qibla-e-dil Ka'ba-e-jāñ aur hai Sajda-gāh-e-ahl-e-'irfāñ aur hai Ho ke khush kaṭvāte hain apne gale Āshiqoñ kī 'īd-e-qurbāñ aur hai Roz-o-shab yaañ ek sī hai raushnī Dil ke dāghoñ kā charāghāñ aur hai Khār dikhlātī hai phūloñ kī bahār Bulbulo! apnā gulistāñ aur hai Qaid mein ārām āzādī vabāl Ham giriftāroñ kā zindāñ aur hai Bahr-e-ulfat mein nahīñ kashtī kā kām Nūh se kah do ye tūfāñ aur hai Kis kā andesha hai barq-o-sail se Apne khirman kā nigahbāñ aur hai Dard vo dil mein vo sīna par hai dāgh Jis kā marham jis kā darmāñ aur hai Ka'ba-rū mehrāb-e-abrū ai Amīrؔ Apnī tā'at apnā īmāñ aur hai

‹ کلام کی فہرست پر واپس