آشکارا راز حسن کبریا کیونکر ہوا
آشکارا راز حسن کبریا کیونکر ہوا رہ کے سو پردوں میں عالم آشنا کیونکر ہوا اے مسیحا میرے دشمن ہوں شفا سے ناامید تو سلامت درد میرا لا دوا کیونکر ہوا اپنا بندہ بھی مجھے کہتا ہے پھر محتاج بھی تجھ سے شاہنشاہ کا بندہ گدا کیونکر ہوا پوچھ لے قاتل زبان تیغ سے سب سر گذشت کشتے کس منہ سے بتائیں کیا ہوا کیونکر ہوا جیتے جی برسوں میں تڑپا تب نہ لی تم نے خبر مر گئے پر پوچھتے ہو کیا ہوا کیونکر ہوا میں نہ مانوں گا کہ دی اغیار نے ترغیب قتل دشمنوں سے دوستی کا حق ادا کیونکر ہوا میں نہ مانوں گا نہ آئینے کا ہے سارا قصور خود بہ خود وہ خود پسند و خود نما کیونکر ہوا اس نے کھینچی تیغ یاں سر جھک گیا قصہ مٹا خلق یہ کیوں پوچھتی ہے ماجرا کیونکر ہوا چاٹتی ہے کیوں زبان تیغ قاتل بار بار بے نمک چھڑکے یہ زخموں میں مزا کیونکر ہوا الفت گیسو بلا تھی مر گیا پھنس کر امیرؔ ہے بڑا جھگڑا نہ پوچھو فیصلہ کیونکر ہوا
English rendering
Āshkārā rāz-e-husn-e-kibriyā kyuñkar huā Rah ke sau pardoñ mein 'ālam āshnā kyuñkar huā Ai Masīhā mere dushman hoñ shifā se nā-umīd Tū salāmat dard merā lā-davā kyuñkar huā Apnā banda bhī mujhe kahtā hai phir muhtāj bhī Tujh se shāhanshāh kā banda gadā kyuñkar huā Pūchh le qātil zabān-e-tegh se sab sar-guzasht Kushta kis muñh se batāeñ kyā huā kyuñkar huā Jīte jī barsoñ mein taṛpā tab na lī tum ne khabar Mar ga'e par pūchhte ho kyā huā kyuñkar huā Maiñ na mānūñgā ki dī aghiyār ne targhīb-e-qatl Dushmanoñ se dostī kā haq adā kyuñkar huā Maiñ na mānūñgā na ā'īne kā hai sārā qasūr Khud ba khud vo khud-pasand o khud-numā kyuñkar huā Us ne khīñchī tegh yaañ sar jhuk gayā qissa miṭā Khalq ye kyuñ pūchhtī hai mājarā kyuñkar huā Chāṭtī hai kyuñ zabān-e-tegh-e-qātil bār bār Be namak chhiṛke ye zakhmoñ mein mazā kyuñkar huā Ulfat-e-gesū balā thī mar gayā phañs kar Amīrؔ Hai baṛā jhagṛā na pūchho faisla kyuñkar huā