خاک چھانی نہ کسی دشت میں وحشت کی ہے
خاک چھانی نہ کسی دشت میں وحشت کی ہے میں نے اک شخص سے اجرت پہ محبت کی ہے خود کو دھتکار دیا میں نے تو اس دنیا نے میری اوقات سے بڑھ کر مری عزت کی ہے جی میں آتا ہے مری مجھ سے ملاقات نہ ہو بات ملنے کی نہیں بات طبیعت کی ہے اب بھی تھوڑی سی مرے دل میں پڑی ہے شاید زرد سی دھوپ جو دیوار سے رخصت کی ہے آج جی بھر کے تجھے دیکھا تو محسوس ہوا آنکھ نے سورۂ یوسف کی تلاوت کی ہے حال پوچھا ہے مرا پونچھے ہیں آنسو میرے شکریہ تم نے مرے درد میں شرکت کی ہے
English rendering
Khaak chhanni na kisi dasht mein wahshat ki hai Main ne ik shakhs se ujrat pe muhabbat ki hai Khud ko dhutkaar diya main ne to is duniya ne Meri auqaat se badh kar meri izzat ki hai Ji mein aata hai meri mujh se mulaqaat na ho Baat milne ki nahin baat tabiyat ki hai Ab bhi thodi si mere dil mein padi hai shayad Zard si dhoop jo deewar se rukhsat ki hai Aaj ji bhar ke tujhe dekha to mahsoos hua Aankh ne Surah-e-Yousuf ki tilawat ki hai Haal poocha hai mera poonchhe hain aansoo mere Shukriya tum ne mere dard mein shirkat ki hai