عیاں ہے بے رخی چتون سے اور غصہ نگاہوں سے
عیاں ہے بے رخی چتون سے اور غصہ نگاہوں سے پیام خامشی اور وہ بھی دو دو نشر گاہوں سے وبال جاں ہے ایسی زندگی جس میں تلاطم ہو مٹا لوں حوصلے پھر توبہ کر لوں گا گناہوں سے فضا محدود کب ہے اے دل وحشی فلک کیسا نلاہٹ ہے نظر کی دیکھتے ہیں جو نگاہوں سے حقیقت میں نگاہوں سے کوئی منزل نہیں بچتی گزرتے دیکھے ہیں گوشہ نشیں تک شاہراہوں سے تہی دستان قسمت کو نہ لینا تھا نہ دینا تھا حساب زندگی کیا ہے یہ پوچھو بادشاہوں سے ہمیں تو جلتے دل کی روشنی میں آگے بڑھنا ہے ہٹا دو قمقمے بجلی کے نا ہموار راہوں سے مرے نالوں کے سب شاکی کوئی ان کو نہیں کہتا کھرچتے رہتے ہیں جو زخم دل خونی نگاہوں سے پلا دو زہر غم دل کو نہ چھوڑے گر ہوس کاری گنہ وہ ایک اچھا جو بچا لے سو گناہوں سے ہمیں کچھ آرزوؔ پھیر ان کی باتوں کا سمجھتے ہیں جو حق پوشی میں سچ کو جھوٹ کرتے ہیں گواہوں سے
English rendering
Ayān hai be-rukhī chiton se aur ghussa nigāhon se Payām-e-khāmushī aur wo bhi do do nashr-gāhon se Wabāl-e-jān hai aisī zindagī jis mein talātum ho Miṭā luun hausle phir tauba kar luun gā gunāhon se Fazā mehdood kab hai aye dil-e-wahshī falak kaisā Nalāhaṭ hai nazar kī dekhte hain jo nigāhon se Haqīqat mein nigāhon se koī manzil nahīn bachtī Guzarte dekhe hain goshe-nashīn tak shāh-rāhon se Thī dāstān qismat ko na lena tha na dena tha Hisāb-e-zindagī kyā hai ye pūchho bādshāhon se Hamīn to jalte dil kī roshanī mein aage baṛhnā hai Haṭā do qumqume bijlī ke nā-hamwār rāhon se Mere nālon ke sab shākī koī un ko nahīn kahtā Khurachte rahte hain jo zakhm-e-dil khoonī nigāhon se Pilā do zehar-e-gham dil ko na chhoṛe gar hawas-kārī Gunah wo ek achha jo bachā le sau gunāhon se Hamein kuchh Aarzoo phir un kī bāton ka samajhte hain Jo haq-poshī mein sach ko jhooṭ karte hain gawāhon se