آرزو لکھنوی

آرزو لکھنوی

شاعر — Arzoo Lakhnavi

تعارف شاعری

قربت بڑھا بڑھا کر بے خود بنا رہے ہیں

قربت بڑھا بڑھا کر بے خود بنا رہے ہیں میں دور ہٹ رہا ہوں وہ پاس آ رہے ہیں اعجاز پاک بازی حیرت میں لا رہے ہیں دل مل گیا ہے دل سے پہلو جدا رہے ہیں وہ دل سے غم بھلا کر دل کو لبھا رہے ہیں گزرے ہوئے زمانے پھر پھر کے آ رہے ہیں سینے میں ضبط غم سے چھالا ابھر رہا ہے شعلے کو بند کر کے پانی بنا رہے ہیں معنی نہ پوچھ ظالم اس عذر بے گنہ کے اپنے کو اول دے کر تجھ کو بچا رہے ہیں اے بے خودی کہاں ہے جلدی مری خبر لے بھولے تھے جو بہ مشکل پھر یاد آ رہے ہیں لیں کام ضبط سے کیا الٹا ہے دل کا پھوڑا اتنا ابھر رہا ہے جتنا دبا رہے ہیں فرقت میں ساز راحت ساماں عذاب کا ہے ٹھنڈی ہوا کے جھونکے کیا جی جلا رہے ہیں ہیں حسن کے کرشمے کیا انقلاب آگیں غم خوار جو تھے کل تک اب خار کھا رہے ہیں خود ان کی جستجو میں ہم دور بھاگے ورنہ وہ کب الگ رہے ہیں وہ کب جدا رہے ہیں لے لے کے ٹھنڈی سانسیں پوچھو نہ حال دیکھو تم بھید کھولتے ہو اور ہم چھپا رہے ہیں دیکھ آرزوؔ یہ رونا شانہ ہلا ہلا کر تو آج خواب میں ہے اور وہ جگا رہے ہیں

— آرزو لکھنوی

English rendering

Qurbat baṛhā baṛhā kar be-khud banā rahe hain Main door haṭ rahā huun wo paas ā rahe hain I'jāz-e-pāk bāzī hairat mein lā rahe hain Dil mil gayā hai dil se pahlu judā rahe hain Wo dil se gham bhulā kar dil ko lubhā rahe hain Guzre hue zamāne phir phir ke ā rahe hain Seene mein zabt-e-gham se chhālā ubhar rahā hai Sho'le ko band kar ke pānī banā rahe hain Ma'nī na poochh zālim is uzr-e-be-gunah ke Apne ko awwal de kar tujh ko bachā rahe hain Aye be-khudī kahān hai jaldi mirī khabar le Bhule the jo ba-mushkil phir yaad ā rahe hain Len kaam zabt se kyā ulṭā hai dil ka phoṛā Itnā ubhar rahā hai jitnā dabā rahe hain Furqat mein sāz-e-rāhat sāmān-e-azāb kā hai Ṭhanḍī hawā ke jhonke kyā jī jalā rahe hain Hain husn ke karishme kyā inqalāb-āgīn Gham-khwār jo the kal tak ab khār khā rahe hain Khud un kī justujoo mein ham door bhāge warna Wo kab alag rahe hain wo kab judā rahe hain Le le ke ṭhanḍī sānsen pūchho na hāl dekho Tum bhed kholte ho aur ham chhupā rahe hain Dekh Aarzoo ye ronā shāna hilā hilā kar Tu aaj khwāb mein hai aur wo jagā rahe hain

‹ کلام کی فہرست پر واپس