بس اک نگاہ میں قصہ تمام ہوتا ہے
بس اک نگاہ میں قصہ تمام ہوتا ہے تو کیا یہ واقعی اتنا سا کام ہوتا ہے کسی کے سرد رویے پہ خامشی کا لحاف یہ انتقام بھی کیا انتقام ہوتا ہے کبھی کبھی کوئی لقمہ کہیں کہیں کوئی کام حلال ہوتے ہوئے بھی حرام ہوتا ہے فراق یار سے کیا کیا امید تھی لیکن یہ رنج بھی کوئی دو چار گام ہوتا ہے اسیر اسیر ہی ہوتا ہے قید کوئی بھی ہو کسی بھی شکل میں ہو دام دام ہوتا ہے شعور جس میں نہ ہو اس میں شاعری کیا ہو جو خوش بدن ہو وہی خوش خرام ہوتا ہے وہ شخص یوں تو کسی کام کا نہیں لیکن سنا ہے اس کے یہاں انتظام ہوتا ہے کبھی کبھی بڑی مشکل میں ڈال دیتے ہیں وہ جن کا دل میں بہت احترام ہوتا ہے کھڑا ہوں کتنے ہی رشتوں کو تھام کر جوادؔ اور ایسے میں جو مرا انہدام ہوتا ہے
English rendering
Bas ik nigāh mein qissa tamām hotā hai To kya yeh wāqai itnā sā kaam hotā hai Kisi ke sard rawaiye pe khāmoshī ka lihaaf Yeh intiqām bhi kya intiqām hotā hai Kabhi kabhi koi luqma kahīñ kahīñ koi kaam Halāl hote hue bhi harām hotā hai Firāq-e-yār se kya kya ummīd thī lekin Yeh ranj bhi koi do chār gām hotā hai Asīr asīr hi hotā hai qaid koi bhi ho Kisi bhi shakl mein ho daam daam hotā hai Shaoor jis mein na ho us mein shā'irī kya ho Jo khush-badan ho wahi khush-kharām hotā hai Woh shakhs yūñ to kisi kaam ka nahīñ lekin Sunā hai us ke yahāñ intizām hotā hai Kabhi kabhi baṛī mushkil mein ḍāl dete haiñ Woh jin ka dil mein bahut ehtirām hotā hai Khaṛā hūñ kitne hi rishtoñ ko thām kar Jawādؔ Aur aise mein jo mirā inhādām hotā hai