ایک تصویر کہ اوّل نہیں دیکھی جاتی
ایک تصویر کہ اوّل نہیں دیکھی جاتی دیکھ بھی لُوں تو مسلسل نہیں دیکھی جاتی دیکھی جاتی ہے محبّت میں ہر اِک جنبش ِ دل صرف سانسوں کی ریہرسل نہیں دیکھی جاتی اِک تو ویسے بڑی تاریک ہے خواہش نگری پھر طویل اتنی کہ پیدل نہیں دیکھی جاتی ایسا کچھ ہے بھی نہیں جس سے تجھے بہلاؤں یہ اداسی بھی مسلسل نہیں دیکھی جاتی سامنے اِک وہی صورت نہیں رہتی اکثر جو کبھی آنکھ سے اوجھل نہیں دیکھی جاتی میں نے اِک عمر سے بٹوے میں سنبھالی ہوئی ہے وہی تصویر جو اِک پل نہیں دیکھی جاتی اب مرا دھیان کہیں اور چلا جاتا ہے اب کوئی فلم مکمّل نہیں دیکھی جاتی اِک مقام ایسا بھی آتا ہے سفر میں جوّاد سامنے ہو بھی تو دلدل نہیں دیکھی جاتی
English rendering
Ek tasvīr ke awwal nahīñ dekhī jātī Dekh bhi lūñ to musalsal nahīñ dekhī jātī Dekhī jātī hai muhabbat mein har ik jumbish-e-dil Sirf sāñsoñ kī rehearsal nahīñ dekhī jātī Ik to waise baṛī tārīk hai khwāhish nagrī Phir tawīl itnī ke paidal nahīñ dekhī jātī Aisā kuch hai bhi nahīñ jis se tujhe behlāūñ Yeh udāsī bhi musalsal nahīñ dekhī jātī Sāmne ik wahi sūrat nahīñ rahti aksar Jo kabhi āñkh se ojhal nahīñ dekhī jātī Maiñ ne ik umr se baṭwe mein sambhālī hui hai Wahi tasvīr jo ik pal nahīñ dekhī jātī Ab mirā dhyān kahīñ aur chalā jātā hai Ab koi film mukammal nahīñ dekhī jātī Ik maqām aisā bhi ātā hai safar mein Jawwādؔ Sāmne ho bhi to daldal nahīñ dekhī jātī