ہجر کی راہ کسی کے لیے آسان نہیں
ہجر کی راہ کسی کے لیے آسان نہیں منع کرتا ہوں تو ہو جایا کرو جان نہیں اب میں چپ چاپ یہی دیکھ رہا ہوتا ہوں کون اس بزم میں کس بات پہ حیران نہیں اس کو چھوڑا ہے بہت سوچ سمجھ کر میں نے سو پریشان تو رہتا ہوں پشیمان نہیں شاید اچھا ہی کیا ان سنی کر کے اس نے بات سادہ تو بہت تھی مگر آسان نہیں کام تو اور بھی کرنے کو بہت ہیں لیکن شعر گوئی کے علاوہ مرے شایان نہیں آخری دن ہیں مہینے کے تجھے کیا معلوم تو سمجھتا ہے کہ اک تیری طرف دھیان نہیں ہم یہاں اور ہی کچھ سوچ کے آئے تھے مگر اس خرابے میں ضرورت کا بھی سامان نہیں شے تو اچھی ہے میانہ روی لیکن جوادؔ اس میں کیا نفع ہے جس میں کوئی نقصان نہیں
English rendering
Hijr kī rāh kisi ke liye āsān nahīñ Mana karta huñ to ho jaaya karo jaan nahīñ Ab maiñ chup chāp yahī dekh rahā hotā huñ Kaun is bazm mein kis baat pe hairān nahīñ Us ko chhoṛā hai bahut soch samajh kar maiñ ne So pareshān to rahtā huñ pashīmān nahīñ Shāyad acchā hi kiyā ansuni kar ke us ne Baat sādah to bahut thī magar āsān nahīñ Kaam to aur bhi karne ko bahut haiñ lekin She'r goī ke ilāwah mere shāyān nahīñ Ākhiri din haiñ mahīne ke tujhe kya ma'lūm Tu samajhtā hai ke ek terī taraf dhyān nahīñ Hum yahāñ aur hi kuch soch ke āye the magar Is khrābe mein zarūrat ka bhi sāmān nahīñ Shay to acchī hai miyāna-ravī lekin Jawādؔ Is mein kya naf'a hai jis mein koi nuqsān nahīñ