ہوتا ہے مٹنے ہی کے لیے ہر لگا ہوا
ہوتا ہے مٹنے ہی کے لیے ہر لگا ہوا لیکن وہ ایک داغ نہ لگ کر لگا ہوا دل بیٹھ بیٹھ جاتا ہے آئینہ دیکھ کر جانے یہ کیسا روگ ہے بھیتر لگا ہوا ایسے ہی بات بات پہ روتا نہیں ہوں میں اک زخم ہے کہیں مرے اندر لگا ہوا اندر بچھا ہوا ہے کوئی جال اور ہی دام اور ہے دکان کے باہر لگا ہوا ڈرتا بھی ہوں کہ ہو ہی نہ جائے کہیں وہ کام اک عمر سے ہوں جس میں برابر لگا ہوا ہوتا نہیں جوان لڑکپن کے بعد بھی لگتا نہیں غریب کا نمبر لگا ہوا وہ اتفاق سے مرا محبوب ہے تو کیا جچتا ہے ایک شخص ہی افسر لگا ہوا جوادؔ زندگی کی طرح تھی کوئی سڑک دونوں طرف قطار میں کیکر لگا ہوا
English rendering
Hotā hai miṭne hi ke liye har lagā huā Lekin woh ek dāgh na lag kar lagā huā Dil baiṭh baiṭh jātā hai āīna dekh kar Jaane yeh kaisā rog hai bhītar lagā huā Aise hi bāt bāt pe rotā nahīñ huñ maiñ Ik zakhm hai kahīñ mere andar lagā huā Andar bichhā huā hai koi jāl aur hi Dām aur hai dukān ke bāhar lagā huā Ḍartā bhi huñ ke ho hi na jaaye kahīñ woh kaam Ik umr se huñ jis mein barābar lagā huā Hotā nahīñ jawāñ laṛakpan ke ba'd bhi Lagtā nahīñ gharīb ka number lagā huā Woh ittifāq se mirā mahbūb hai to kya Jachtā hai ek shakhs hi afsar lagā huā Jawādؔ zindagi ki tarah thī koi saṛak Donoñ taraf qatār mein kīkar lagā huā