تم اگر سیکھنا چاہو … مجھے بتلا دینا
تم اگر سیکھنا چاہو … مجھے بتلا دینا عام سا فن تو کوئی ہے نہیں تحفہ دینا ایک ہی شخص ہے جس کو یہ ہنر آتا ہے روٹھ جانے پہ فضا اور بھی مہکا دینا بھانپ لینا کہ بہت وقت نہیں اُس کے پاس اور پھر اُس کو کسی بحث میں الجھا دینا حُسن دنیا میں اِسی کام کو بھیجا گیا ہے کہ جہاں آگ لگی ہو .. اُسے بھڑکا دینا اُن بزرگوں کا یہی کام ہوا کرتا تھا جہاں خوبی نظر آئی اُسے چمکا دینا دل بتاتا ہے مجھے عقل کی باتیں کیا کیا بندہ پوچھے کہ ترا ہے کوئی لینا دینا اور کہنا کہ دِلوں میں نہیں کوئی سرحد اپنے بچوں کو نہ قرآن نہ گیتا دینا اور کچھ یاد نہ رہتا تھا لڑائی میں اُسے ہاں مگر میرے گزشتہ کا حوالہ دینا اُس کی فطرت میں نہ تھا ترک ِ تعلق لیکن دوسرے شخص کو اِس نہج پہ پہنچا دینا جانتا تھا کہ بہت خاک اڑائے گا مری کوئی آسان نہیں تھا اُسے رستہ دینا یہ وہ منصب ہیں جو اپنوں کو دیے جاتے ہیں یاد کیا رکھنا اُسے اور بھُلا کیا دینا کیا پتہ خود سے چھڑی جنگ کہاں لے جائے جب بھی یاد آؤں مری جان کا صدقہ دینا دل کا سامان کوئی خاک خریدے اُس سے یاد ہی جس کو نہ رہتا ہو بقایا دینا بات کرنے سے گریزاں نظر آتے ہیں مگر ختم ہے حضرت ِ جواد پہ لقمہ دینا
English rendering
Tum agar sīkhnā chāho … mujhe batlā denā Ām sā fan to koi hai nahīñ tohfa denā Ek hi shakhs hai jis ko yeh hunar ātā hai Rūṭh jaane pe fizā aur bhi mehkā denā Bhānp lenā ke bahut waqt nahīñ us ke pās Aur phir us ko kisi bahas mein uljhā denā Husn dunyā mein isī kaam ko bhejā gayā hai Ke jahāñ āg lagī ho .. use bhaṛkā denā Un buzurgon ka yahī kaam huā kartā thā Jahāñ khūbī nazar āī use chamkā denā Dil batātā hai mujhe aql kī bāteñ kya kya Banda pūchhe ke terā hai koi lenā denā Aur kahnā ke diloñ mein nahīñ koi sarhad Apne bacchoñ ko na Qur'ān na Gītā denā Aur kuch yād na rahtā thā laṛāī mein use Hāñ magar mere guzāshta ka hawāla denā Us kī fitrat mein na thā tark-e-ta'alluq lekin Dūsre shakhs ko is nahaj pe pahuñchā denā Jāntā thā ke bahut khāk uṛāye ga mirī Koi āsān nahīñ thā use rasta denā Yeh woh mansab haiñ jo apnoñ ko diye jaate haiñ Yād kya rakhnā use aur bhulā kya denā Kya pata khud se chiṛī jang kahāñ le jaaye Jab bhi yād āūñ mirī jān ka sadqa denā Dil ka sāmān koi khāk kharīde us se Yād hi jis ko na rahtā ho baqāyā denā Bāt karne se gurezāñ nazar āte haiñ magar Khatm hai Hazrat-e-Jawād pe luqma denā