اے حسن یار شرم یہ کیا انقلاب ہے
اے حسن یار شرم یہ کیا انقلاب ہے تجھ سے زیادہ درد ترا کامیاب ہے عاشق کی بے دلی کا تغافل نہیں جواب اس کا بس ایک جوش محبت جواب ہے تیری عنایتیں کہ نہیں نذر جاں قبول تیری نوازشیں کہ زمانہ خراب ہے اے حسن اپنی حوصلہ افزائیاں تو دیکھ مانا کہ چشم شوق بہت بے حجاب ہے میں عشق بے نیاز ہوں تم حسن بے پناہ میرا جواب ہے نہ تمہارا جواب ہے مے خانہ ہے اسی کا یہ دنیا اسی کی ہے جس تشنہ لب کے ہاتھ میں جام شراب ہے اس سے دل تباہ کی روداد کیا کہوں جو یہ نہ سن سکے کہ زمانہ خراب ہے اے محتسب نہ پھینک مرے محتسب نہ پھینک ظالم شراب ہے ارے ظالم شراب ہے اپنے حدود سے نہ بڑھے کوئی عشق میں جو ذرہ جس جگہ ہے وہیں آفتاب ہے وہ لاکھ سامنے ہوں مگر اس کا کیا علاج دل مانتا نہیں کہ نظر کامیاب ہے میری نگاہ شوق بھی کچھ کم نہیں مگر پھر بھی ترا شباب ترا ہی شباب ہے مانوس اعتبار کرم کیوں کیا مجھے اب ہر خطائے شوق اسی کا جواب ہے میں اس کا آئینہ ہوں وہ ہے میرا آئینہ میری نظر سے اس کی نظر کامیاب ہے تنہائی فراق کے قربان جائیے میں ہوں خیال یار ہے چشم پر آب ہے سرمایۂ فراق جگرؔ آہ کچھ نہ پوچھ اب جان ہے سو اپنے لیے خود عذاب ہے
English rendering
Ai husn-e-yār sharm ye kyā inquilāb hai Tujh se ziyāda dard tirā kāmyāb hai Āshiq kī be-dilī kā taghāful nahīñ jawāb Us kā bas ek josh-e-mohabbat jawāb hai Terī ināyateñ ki nahīñ nazr-e-jāñ qabūl Terī nawāzisheñ ki zamāna ḳharāb hai Ai husn apnī hausla-afzā.iyāñ to dekh Mānā ki chashm-e-shauq bahut be-hijāb hai Maiñ ishq-e-be-niyāz hūñ tum husn-e-be-panāh Merā jawāb hai na tumhārā jawāb hai Mai-ḳhāna hai isī kā ye duniyā isī kī hai Jis tashna-lab ke haath meñ jām-e-sharāb hai Us se dil-e-tabāh kī rūdād kyā kahūñ Jo ye na sun sake ki zamāna ḳharāb hai Ai muhtasib na pheñk mere muhtasib na pheñk Zālim sharāb hai are zālim sharāb hai Apne hudūd se na baṛhe koī ishq meñ Jo zarra jis jagah hai vahīñ āftāb hai Vo lākh sāmne hoñ magar us kā kyā ilāj Dil māntā nahīñ ki nazar kāmyāb hai Merī nigāh-e-shauq bhī kuchh kam nahīñ magar Phir bhī tirā shabāb tirā hī shabāb hai Mānūs e'tibār-e-karam kyoñ kiyā mujhe Ab har ḳhatā-e-shauq isī kā jawāb hai Maiñ us kā aa.īna hūñ vo hai merā aa.īna Merī nazar se us kī nazar kāmyāb hai Tanhā.ī-e-firāq ke qurbān jā.iye Maiñ hūñ ḳhayāl-e-yār hai chashm pur-āb hai Sarmāya-e-firāq jigar aah kuchh na pūchh Ab jāñ hai so apne liye ḳhud azāb hai