بے کیف دل ہے اور جیے جا رہا ہوں میں
بے کیف دل ہے اور جیے جا رہا ہوں میں خالی ہے شیشہ اور پیے جا رہا ہوں میں پیہم جو آہ آہ کیے جا رہا ہوں میں دولت ہے غم زکوٰۃ دئیے جا رہا ہوں میں مجبوری کمال محبت تو دیکھنا جینا نہیں قبول جیے جا رہا ہوں میں وہ دل کہاں ہے اب کہ جسے پیار کیجیے مجبوریاں ہیں ساتھ دئیے جا رہا ہوں میں رخصت ہوئی شباب کے ہم راہ زندگی کہنے کی بات ہے کہ جیے جا رہا ہوں میں پہلے شراب زیست تھی اب زیست ہے شراب کوئی پلا رہا ہے پیے جا رہا ہوں میں
English rendering
Be-kaif dil hai aur jiye jā rahā huuñ maiñ Khālī hai shīsha aur piye jā rahā huuñ maiñ Payham jo aah aah kiye jā rahā huuñ maiñ Daulat hai gham zakāt diye jā rahā huuñ maiñ Majbūrī-e-kamāl-e-mohabbat to dekhnā Jiinā nahīñ qabūl jiye jā rahā huuñ maiñ Vo dil kahāñ hai ab ki jise pyār kījiye Majbūriyāñ haiñ saath diye jā rahā huuñ maiñ Rukhsat huī shabāb ke hamrāh zindagī Kahne kī baat hai ki jiye jā rahā huuñ maiñ Pahle sharāb-e-zīst thī ab zīst hai sharāb Koī pilā rahā hai piye jā rahā huuñ maiñ