دل میں کسی کے راہ کئے جا رہا ہوں میں
دل میں کسی کے راہ کئے جا رہا ہوں میں کتنا حسیں گناہ کئے جا رہا ہوں میں دنیائے دل تباہ کئے جا رہا ہوں میں صرف نگاہ و آہ کئے جا رہا ہوں میں فرد عمل سیاہ کئے جا رہا ہوں میں رحمت کو بے پناہ کئے جا رہا ہوں میں ایسی بھی اک نگاہ کئے جا رہا ہوں میں ذروں کو مہر و ماہ کئے جا رہا ہوں میں مجھ سے لگے ہیں عشق کی عظمت کو چار چاند خود حسن کو گواہ کئے جا رہا ہوں میں دفتر ہے ایک معنئ بے لفظ و صوت کا سادہ سی جو نگاہ کئے جا رہا ہوں میں آگے قدم بڑھائیں جنہیں سوجھتا نہیں روشن چراغ راہ کئے جا رہا ہوں میں معصومئ جمال کو بھی جن پہ رشک ہے ایسے بھی کچھ گناہ کئے جا رہا ہوں میں تنقید حسن مصلحت خاص عشق ہے یہ جرم گاہ گاہ کئے جا رہا ہوں میں اٹھتی نہیں ہے آنکھ مگر اس کے روبرو نادیدہ اک نگاہ کئے جا رہا ہوں میں گلشن پرست ہوں مجھے گل ہی نہیں عزیز کانٹوں سے بھی نباہ کئے جا رہا ہوں میں یوں زندگی گزار رہا ہوں ترے بغیر جیسے کوئی گناہ کئے جا رہا ہوں میں مجھ سے ادا ہوا ہے جگرؔ جستجو کا حق ہر ذرے کو گواہ کئے جا رہا ہوں میں
English rendering
Dil meñ kisī ke rāh kiye jā rahā huuñ maiñ Kitnā hasīñ gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ Duniyā-e-dil tabāh kiye jā rahā huuñ maiñ Sirf nigāh o aah kiye jā rahā huuñ maiñ Fard-e-amal siyāh kiye jā rahā huuñ maiñ Rahmat ko be-panāh kiye jā rahā huuñ maiñ Aisī bhī ik nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ Zarroñ ko mehar o māh kiye jā rahā huuñ maiñ Mujh se lage haiñ ishq kī azmat ko chār chāñd Khud husn ko gawāh kiye jā rahā huuñ maiñ Daftar hai ek ma'nī-e-be-lafz o saut kā Sāda sī jo nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ Āge qadam baṛhā.eñ jinheñ sūjhtā nahīñ Roshan charāġh-e-rāh kiye jā rahā huuñ maiñ Masūmī-e-jamāl ko bhī jin pe rashk hai Aise bhī kuchh gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ Tanqīd-e-husn maslahat-e-ḳhās-e-ishq hai Ye jurm gāh gāh kiye jā rahā huuñ maiñ Uthtī nahīñ hai āñkh magar us ke rū-ba-rū Nādīda ik nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ Gulshan-parast hūñ mujhe gul hī nahīñ azīz KāñToñ se bhī nibāh kiye jā rahā huuñ maiñ Yūñ zindagī guzār rahā huuñ tire baġhair Jaise koī gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ Mujh se adā huā hai jigar justujū kā haq Har zarre ko gawāh kiye jā rahā huuñ maiñ