جگر مراد آبادی

جگر مراد آبادی

شاعر — Jigar Moradabadi

تعارف شاعری

دنیا کے ستم یاد نہ اپنی ہی وفا یاد

دنیا کے ستم یاد نہ اپنی ہی وفا یاد اب مجھ کو نہیں کچھ بھی محبت کے سوا یاد میں شکوہ بلب تھا مجھے یہ بھی نہ رہا یاد شاید کہ مرے بھولنے والے نے کیا یاد چھیڑا تھا جسے پہلے پہل تیری نظر نے اب تک ہے وہ اک نغمۂ بے ساز و صدا یاد جب کوئی حسیں ہوتا ہے سرگرم نوازش اس وقت وہ کچھ اور بھی آتے ہیں سوا یاد کیا جانئے کیا ہو گیا ارباب جنوں کو مرنے کی ادا یاد نہ جینے کی ادا یاد مدت ہوئی اک حادثۂ عشق کو لیکن اب تک ہے ترے دل کے دھڑکنے کی صدا یاد ہاں ہاں تجھے کیا کام مری شدت غم سے ہاں ہاں نہیں مجھ کو ترے دامن کی ہوا یاد میں ترک رہ و رسم جنوں کر ہی چکا تھا کیوں آ گئی ایسے میں تری لغزش پا یاد کیا لطف کہ میں اپنا پتہ آپ بتاؤں کیجے کوئی بھولی ہوئی خاص اپنی ادا یاد

— جگر مراد آبادی

English rendering

Duniyā ke sitam yaad na apnī hī wafā yaad Ab mujh ko nahīñ kuchh bhī mohabbat ke sivā yaad Maiñ shikva ba-lab thā mujhe ye bhī na rahā yaad Shāyad ki mere bhūlne vaale ne kiyā yaad ChheḌā thā jise pahle pahl terī nazar ne Ab tak hai vo ik naġhma-e-be-sāz o sadā yaad Jab koī hasīñ hotā hai sargarm-e-navāzish Us waqt vo kuchh aur bhī aate haiñ sivā yaad Kyā jāniye kyā ho gayā arbāb-e-junūñ ko Marne kī adā yaad na jiine kī adā yaad Muddat huī ik hādsa-e-ishq ko lekin Ab tak hai tire dil ke dhaḌakne kī sadā yaad Hāñ hāñ tujhe kyā kaam merī shiddat-e-ġham se Hāñ hāñ nahīñ mujh ko tire dāman kī havā yaad Maiñ tark-e-rah o rasm-e-junūñ kar hī cukā thā Kyuñ aa ga.ī aise meñ tirī laġhzish-e-pā yaad Kyā lutf ki maiñ apnā patā aap batā.ūñ Kīje koī bhūlī huī ḳhās apnī adā yaad

‹ کلام کی فہرست پر واپس