عشق کو بے نقاب ہونا تھا
عشق کو بے نقاب ہونا تھا آپ اپنا جواب ہونا تھا مست جام شراب ہونا تھا بے خود اضطراب ہونا تھا تیری آنکھوں کا کچھ قصور نہیں ہاں مجھی کو خراب ہونا تھا آؤ مل جاؤ مسکرا کے گلے ہو چکا جو عتاب ہونا تھا کوچۂ عشق میں نکل آیا جس کو خانہ خراب ہونا تھا مست جام شراب خاک ہوتے غرق جام شراب ہونا تھا دل کہ جس پر ہیں نقش رنگارنگ اس کو سادہ کتاب ہونا تھا ہم نے ناکامیوں کو ڈھونڈ لیا آخرش کامیاب ہونا تھا ہائے وہ لمحۂ سکوں کہ جسے محشر اضطراب ہونا تھا نگۂ یار خود تڑپ اٹھتی شرط اول خراب ہونا تھا کیوں نہ ہوتا ستم بھی بے پایاں کرم بے حساب ہونا تھا کیوں نظر حیرتوں میں ڈوب گئی موج صد اضطراب ہونا تھا ہو چکا روز اولیں ہی جگرؔ جس کو جتنا خراب ہونا تھا
English rendering
Ishq ko be-naqāb honā thā Āp apnā jawāb honā thā Mast-e-jām-e-sharāb honā thā Be-ḳhud iztirāb honā thā Terī āñkhoñ kā kuchh qasūr nahīñ Hāñ mujhī ko ḳharāb honā thā Ā.o mil jā.o muskurā ke gale Ho cukā jo itāb honā thā Kūcha-e-ishq meñ nikal aayā Jis ko ḳhāna-ḳharāb honā thā Mast-e-jām-e-sharāb ḳhāk hote Ġharq-e-jām-e-sharāb honā thā Dil ki jis par haiñ naqsh-e-rañgā-rañg Us ko sāda kitāb honā thā Ham ne nākāmiyoñ ko ḌhūñḌ liyā Āḳhirash kāmyāb honā thā Hā.e vo lamha-e-sukūñ ki jise Mahshar-e-iztirāb honā thā Nigah-e-yār ḳhud taḌap uThtī Shart-e-auval ḳharāb honā thā Kyuñ na hotā sitam bhī be-pāyāñ Karam be-hisāb honā thā Kyuñ nazar hairatoñ meñ Ḍūb ga.ī Mauj-e-sad-iztirāb honā thā Ho cukā roz-e-avvalīñ hī jigar Jis ko jitnā ḳharāb honā thā