جگر مراد آبادی

جگر مراد آبادی

شاعر — Jigar Moradabadi

تعارف شاعری

عشق لا محدود جب تک رہنما ہوتا نہیں

عشق لا محدود جب تک رہنما ہوتا نہیں زندگی سے زندگی کا حق ادا ہوتا نہیں بے کراں ہوتا نہیں بے انتہا ہوتا نہیں قطرہ جب تک بڑھ کے قلزم آشنا ہوتا نہیں اس سے بڑھ کر دوست کوئی دوسرا ہوتا نہیں سب جدا ہو جائیں لیکن غم جدا ہوتا نہیں زندگی اک حادثہ ہے اور کیسا حادثہ موت سے بھی ختم جس کا سلسلہ ہوتا نہیں کون یہ ناصح کو سمجھائے بہ طرز دل نشیں عشق صادق ہو تو غم بھی بے مزا ہوتا نہیں درد سے معمور ہوتی جا رہی ہے کائنات اک دل انساں مگر درد آشنا ہوتا نہیں میرے عرض غم پہ وہ کہنا کسی کا ہائے ہائے شکوۂ غم شیوۂ اہل وفا ہوتا نہیں اس مقام قرب تک اب عشق پہنچا ہی جہاں دیدہ و دل کا بھی اکثر واسطا ہوتا نہیں ہر قدم کے ساتھ منزل لیکن اس کا کیا علاج عشق ہی کم بخت منزل آشنا ہوتا نہیں اللہ اللہ یہ کمال اور ارتباط حسن و عشق فاصلے ہوں لاکھ دل سے دل جدا ہوتا نہیں کیا قیامت ہے کہ اس دور ترقی میں جگرؔ آدمی سے آدمی کا حق ادا ہوتا نہیں

— جگر مراد آبادی

English rendering

Ishq lā-mahdūd jab tak rahnumā hotā nahīñ Zindagī se zindagī kā haq adā hotā nahīñ Be-karāñ hotā nahīñ be-intihā hotā nahīñ Qatra jab tak baḌh ke qulzum-āshnā hotā nahīñ Is se baḌh kar dost koī dūsrā hotā nahīñ Sab judā ho jā.eñ lekin ġham judā hotā nahīñ Zindagī ik hādsa hai aur kaisā hādsa Maut se bhī ḳhatm jis kā silsila hotā nahīñ Kaun ye nāseh ko samjhā.e ba-tarz-e-dil-nashīñ Ishq sādiq ho to ġham bhī be-mazā hotā nahīñ Dard se ma'mūr hotī jā rahī hai kā.ināt Ik dil-e-insāñ magar dard-āshnā hotā nahīñ Mere arz-e-ġham pe vo kahnā kisī kā hā.e hā.e Shikva-e-ġham shaiwa-e-ahl-e-wafā hotā nahīñ Is maqām-e-qurb tak ab ishq pahuñchā hī jahāñ Dīda o dil kā bhī aksar wāsta hotā nahīñ Har qadam ke sāth manzil lekin is kā kyā ilāj Ishq hī kam-baḳht manzil-āshnā hotā nahīñ Allāh Allāh ye kamāl aur irtibāt-e-husn o ishq Fāsle hoñ lākh dil se dil judā hotā nahīñ Kyā qayāmat hai ki is daur-e-taraqqī meñ jigar Ādamī se ādamī kā haq adā hotā nahīñ

‹ کلام کی فہرست پر واپس