خمار بارہ بنکوی

خمار بارہ بنکوی

شاعر — Khumar Barah Bankvi

تعارف شاعری

کبھی جو میں نے مسرت کا اہتمام کیا

کبھی جو میں نے مسرت کا اہتمام کیا بڑے تپاک سے غم نے مجھے سلام کیا ہزار ترک تعلق کا اہتمام کیا مگر جہاں وہ ملے دل نے اپنا کام کیا زمانے والوں کے ڈر سے اٹھا نہ ہاتھ مگر نظر سے اس نے بصد معذرت سلام کیا کبھی ہنسے کبھی آہیں بھریں کبھی روئے بقدر مرتبہ ہر غم کا احترام کیا ہمارے حصے کی مے کام آئے پیاسوں کے ز راہ خیر گناہ شکست جام کیا طلوع مہر سے بھی گھر کی تیرگی نہ گھٹی اک اور شب کٹی یا میں نے دن تمام کیا دعا یہ ہے نہ ہوں گمراہ ہم سفر میرے خمارؔ میں نے تو اپنا سفر تمام کیا

— خمار بارہ بنکوی

English rendering

Kabhī jo maiñ ne masarrat kā ihtemām kiyā Baṛe tapāk se gham ne mujhe salām kiyā Hazār tark-e-ta'alluq kā ihtemām kiyā Magar jahāñ woh mile dil ne apnā kaam kiyā Zāmane vāloñ ke ḍar se uṭhā na haath magar Nazar se us ne ba-sad ma'zarat salām kiyā Kabhī hanse kabhī āheñ bhareñ kabhī ro'e Ba-qadr-e-martaba har gham kā ehtarām kiyā Hamāre hisse kī mai kaam aa'e pyāsoñ ke Zi rāh-e-khair gunāh-e-shikast-e-jām kiyā Tulū'-e-mehr se bhī ghar kī tīragī na ghaṭī Ik aur shab kaṭī yā maiñ ne din tamām kiyā Duā yeh hai na hoñ gumrāh hamsafar mere Khumārؔ maiñ ne to apnā safar tamām kiyā

‹ کلام کی فہرست پر واپس