میری ساری زندگی کو بے ثمر اس نے کیا
میری ساری زندگی کو بے ثمر اس نے کیا عمر میری تھی مگر اس کو بسر اس نے کیا میں بہت کمزور تھا اس ملک میں ہجرت کے بعد پر مجھے اس ملک میں کمزور تر اس نے کیا راہبر میرا بنا گمراہ کرنے کے لیے مجھ کو سیدھے راستے سے در بہ در اس نے کیا شہر میں وہ معتبر میری گواہی سے ہوا پھر مجھے اس شہر میں نا معتبر اس نے کیا شہر کو برباد کر کے رکھ دیا اس نے منیرؔ شہر پر یہ ظلم میرے نام پر اس نے کیا
English rendering
Meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya Umar meri thi magar us ko basar us ne kiya Main bahut kamzor tha is mulk mein hijrat ke baad Par mujhe is mulk mein kamzor-tar us ne kiya Rahbar mera bana gumrah karne ke liye Mujh ko seedhe raaste se dar ba dar us ne kiya Shehr mein woh mo'tabar meri gawahi se hua Phir mujhe is shehr mein na mo'tabar us ne kiya Shehr ko barbaad kar ke rakh diya us ne Muneer Shehr par yeh zulm mere naam par us ne kiya