دیدنی
میری پلکوں کو مت دیکھو ان کا اٹھنا ان کا جھپکنا جسم کا نا محسوس عمل ہے میری آنکھوں کو مت دیکھو ان کی اوٹ میں شام غریباں ان کی آڑ میں دشت ازل ہے میرے چہرے کو مت دیکھو اس میں کوئی وعدۂ فردا اس میں کوئی آج نہ کل ہے اب اس دریا تک مت آؤ جس کی لہریں ٹوٹ چکی ہیں اس سینے سے لو نہ لگاؤ جس کی نبضیں چھوٹ چکی ہیں اب میرے قاتل کو چاہو میرا قاتل مرہم مرہم دریا دریا ساحل ساحل قاضئ شہر کا ماتھا چومو جس کے قلم میں زہر ہلاہل جس کے سخن میں لحن ہلاہل اب اس رقص کی دھن پہ ناچو جس کی گیت پہ لٹ گیا قاضی جس کی لے پر بک گیا قاتل
English rendering
Meri palkon ko mat dekho In ka uthna in ka jhapakna jism ka na mehsoos amal hai Meri aankhon ko mat dekho In ki oot mein shaam-e-ghareeban in ki aad mein dasht-e-azal hai Mere chehre ko mat dekho Is mein koi wada-e-farda is mein koi aaj na kal hai Ab is darya tak mat aao jis ki lehrein toot chuki hain Is seene se lau na lagao jis ki nabzein chhoot chuki hain Ab mere qatil ko chaho Mera qatil marham marham darya darya saahil saahil Qazi-e-shehar ka maatha choomo Jis ke qalam mein zehar-e-halahal jis ke sukhan mein lahn-e-halahal Ab is raqs ki dhun pe naacho Jis ki geet pe lut gaya qazi jis ki lay par bik gaya qatil