بہت رویا وہ ہم کو یاد کر کے
بہت رویا وہ ہم کو یاد کر کے ہماری زندگی برباد کر کے پلٹ کر پھر یہیں آ جائیں گے ہم وہ دیکھے تو ہمیں آزاد کر کے رہائی کی کوئی صورت نہیں ہے مگر ہاں منت صیاد کر کے بدن میرا چھوا تھا اس نے لیکن گیا ہے روح کو آباد کر کے ہر آمر طول دینا چاہتا ہے مقرر ظلم کی میعاد کر کے
English rendering
Bahut royā voh ham ko yād kar ke Hamārī zindagī barbād kar ke Palaṭ kar phir yahīñ aa jāeñge ham Voh dekhe toh hameñ āzād kar ke Rihāī kī koī sūrat nahīñ hai Magar hañ minnat-e-sayyād kar ke Badan merā chhū'ā thā us ne lekin Gayā hai rūh ko ābād kar ke Har āmir tūl denā chāhtā hai Muqarrar zulm kī mī'ād kar ke