بخت سے کوئی شکایت ہے نہ افلاک سے ہے
بخت سے کوئی شکایت ہے نہ افلاک سے ہے یہی کیا کم ہے کہ نسبت مجھے اس خاک سے ہے خواب میں بھی تجھے بھولوں تو روا رکھ مجھ سے وہ رویہ جو ہوا کا خس و خاشاک سے ہے بزم انجم میں قبا خاک کی پہنی میں نے اور مری ساری فضیلت اسی پوشاک سے ہے اتنی روشن ہے تری صبح کہ ہوتا ہے گماں یہ اجالا تو کسی دیدۂ نمناک سے ہے ہاتھ تو کاٹ دیے کوزہ گروں کے ہم نے معجزے کی وہی امید مگر چاک سے ہے
English rendering
Baḳht se koī shikāyat hai na aflāk se hai Yeh hī kyā kam hai ke nisbat mujhe us ḳhāk se hai Khvāb maiñ bhī tujhe bhūlūñ toh ravā rakh mujh se Voh ravayya jo havā kā khas-o-ḳhāshāk se hai Bazm-e-anjum maiñ qabā ḳhāk kī pehnī maiñ ne Aur mirī sārī fazeelat usī poshāk se hai Itnī roshan hai terī subah ke hotā hai gumāñ Yeh ujālā toh kisī deeda-e-namnāk se hai Haath toh kāṭ diye koza-garoñ ke ham ne Mo'jize kī vahī ummeed magar chāk se hai