بارش ہوئی تو پھولوں کے تن چاک ہو گئے
بارش ہوئی تو پھولوں کے تن چاک ہو گئے موسم کے ہاتھ بھیگ کے سفاک ہو گئے بادل کو کیا خبر ہے کہ بارش کی چاہ میں کیسے بلند و بالا شجر خاک ہو گئے جگنو کو دن کے وقت پرکھنے کی ضد کریں بچے ہمارے عہد کے چالاک ہو گئے لہرا رہی ہے برف کی چادر ہٹا کے گھاس سورج کی شہ پہ تنکے بھی بے باک ہو گئے بستی میں جتنے آب گزیدہ تھے سب کے سب دریا کے رخ بدلتے ہی تیراک ہو گئے سورج دماغ لوگ بھی ابلاغ فکر میں زلف شب فراق کے پیچاک ہو گئے جب بھی غریب شہر سے کچھ گفتگو ہوئی لہجے ہوائے شام کے نمناک ہو گئے
English rendering
Bārish huī toh phūloñ ke tan chāk ho gae Mausam ke haath bheegh ke saffāk ho gae Bādal ko kyā khabar hai ke bārish kī chāh maiñ Kaise buland-o-bālā shajar ḳhāk ho gae Jugnū ko din ke vaqt parkhne kī zid kareñ Bachche hamāre ahd ke chālāk ho gae Lehrā rahī hai barf kī chādar haṭā ke ghās Sūraj kī sheh pe tinke bhī be-bāk ho gae Bastī maiñ jitne āb-gazeeda the sab ke sab Daryā ke rukh badalte hī tairāk ho gae Sūraj-dimāgh log bhī iblāġh-e-fikr maiñ Zulf-e-shab-e-firāq ke pechāk ho gae Jab bhī ghareeb-e-shehar se kuchh guftugū huī Lahje havā-e-shām ke namnāk ho gae