چلنے کا حوصلہ نہیں رکنا محال کر دیا
چلنے کا حوصلہ نہیں رکنا محال کر دیا عشق کے اس سفر نے تو مجھ کو نڈھال کر دیا اے مری گل زمیں تجھے چاہ تھی اک کتاب کی اہل کتاب نے مگر کیا ترا حال کر دیا ملتے ہوئے دلوں کے بیچ اور تھا فیصلہ کوئی اس نے مگر بچھڑتے وقت اور سوال کر دیا اب کے ہوا کے ساتھ ہے دامن یار منتظر بانوئے شب کے ہاتھ میں رکھنا سنبھال کر دیا ممکنہ فیصلوں میں ایک ہجر کا فیصلہ بھی تھا ہم نے تو ایک بات کی اس نے کمال کر دیا میرے لبوں پہ مہر تھی پر میرے شیشہ رو نے تو شہر کے شہر کو مرا واقف حال کر دیا چہرہ و نام ایک ساتھ آج نہ یاد آ سکے وقت نے کس شبیہ کو خواب و خیال کر دیا مدتوں بعد اس نے آج مجھ سے کوئی گلہ کیا منصب دلبری پہ کیا مجھ کو بحال کر دیا
English rendering
Chalne kā hausla nahīñ ruknā muhāl kar diyā Ishq ke is safar ne toh mujh ko niḍhāl kar diyā Ae mirī gul-zamīñ tujhe chāh thī ek kitāb kī Ahl-e-kitāb ne magar kyā terā hāl kar diyā Milte hue diloñ ke beech aur thā faisla koī Us ne magar bichhaṛte vaqt aur savāl kar diyā Ab ke havā ke sāth hai dāman-e-yār muntazir Bānū-e-shab ke haath maiñ rakhnā sambhāl kar diyā Mumkina faisaloñ maiñ ek hijr kā faisla bhī thā Ham ne toh ek bāt kī us ne kamāl kar diyā Mere laboñ pe mohar thī par mere shīsha-rū ne toh Shehar ke shehar ko mirā vāqif-e-hāl kar diyā Chehra-o-nām ek sāth aaj na yād aa sake Vaqt ne kis shabīh ko ḳhvāb-o-ḳhayāl kar diyā Muddaatoñ bād us ne aaj mujh se koī gila kiyā Mansab-e-dilbarī pe kyā mujh ko bahāl kar diyā