پروین شاکر

پروین شاکر

شاعر — Parveen Shakir

تعارف شاعری

چراغ راہ بجھا کیا کہ رہنما بھی گیا

چراغ راہ بجھا کیا کہ رہنما بھی گیا ہوا کے ساتھ مسافر کا نقش پا بھی گیا میں پھول چنتی رہی اور مجھے خبر نہ ہوئی وہ شخص آ کے مرے شہر سے چلا بھی گیا بہت عزیز سہی اس کو میری دل داری مگر یہ ہے کہ کبھی دل مرا دکھا بھی گیا اب ان دریچوں پہ گہرے دبیز پردے ہیں وہ تانک جھانک کا معصوم سلسلہ بھی گیا سب آئے میری عیادت کو وہ بھی آیا تھا جو سب گئے تو مرا درد آشنا بھی گیا یہ غربتیں مری آنکھوں میں کیسی اتری ہیں کہ خواب بھی مرے رخصت ہیں رتجگا بھی گیا

— پروین شاکر

English rendering

Chirāgh-e-rāh bujhā kyā ke rahnumā bhī gayā Havā ke sāth musāfir kā naqsh-e-pā bhī gayā Maiñ phūl chuntī rahī aur mujhe khabar na huī Voh shaḳhs aa ke mere shehar se chalā bhī gayā Bahut azeez sahī us ko merī dil-dārī Magar yeh hai ke kabhī dil mirā dukhā bhī gayā Ab in darīchoñ pe gehre dabeez parde haiñ Voh tāñk-jhāñk kā ma'sūm silsila bhī gayā Sab aaye merī iyādat ko voh bhī aayā thā Jo sab ga'e toh mirā dard-āshnā bhī gayā Yeh ghurbateñ mirī āñkhoñ maiñ kaisī utrī haiñ Ke khvāb bhī mere ruḳhsat haiñ ratjagā bhī gayā

‹ کلام کی فہرست پر واپس