چارہ سازوں کی اذیت نہیں دیکھی جاتی
چارہ سازوں کی اذیت نہیں دیکھی جاتی تیرے بیمار کی حالت نہیں دیکھی جاتی دینے والے کی مشیت پہ ہے سب کچھ موقوف مانگنے والے کی حاجت نہیں دیکھی جاتی دن بہل جاتا ہے لیکن ترے دیوانوں کی شام ہوتی ہے تو وحشت نہیں دیکھی جاتی تمکنت سے تجھے رخصت تو کیا ہے لیکن ہم سے ان آنکھوں کی حسرت نہیں دیکھی جاتی کون اترا ہے یہ آفاق کی پہنائی میں آئنہ خانے کی حیرت نہیں دیکھی جاتی
English rendering
Chāra-sāzoñ kī aziyat nahīñ dekhī jātī Tere bīmār kī hālat nahīñ dekhī jātī Dene vāle kī mashiyat pe hai sab kuchh mauqūf Māñgne vāle kī hājat nahīñ dekhī jātī Din bahal jātā hai lekin tere dīvānoñ kī Shām hotī hai toh vahshat nahīñ dekhī jātī Tamkanat se tujhe ruḳhsat toh kiyā hai lekin Ham se un āñkhoñ kī hasrat nahīñ dekhī jātī Kaun utrā hai yeh āfāq kī pahnāī maiñ Āīna-ḳhāne kī hairat nahīñ dekhī jātī