دل کا کیا ہے وہ تو چاہے گا مسلسل ملنا
دل کا کیا ہے وہ تو چاہے گا مسلسل ملنا وہ ستم گر بھی مگر سوچے کسی پل ملنا واں نہیں وقت تو ہم بھی ہیں عدیم الفرصت اس سے کیا ملیے جو ہر روز کہے کل ملنا عشق کی رہ کے مسافر کا مقدر معلوم شہر کی سوچ میں ہو اور اسے جنگل ملنا اس کا ملنا ہے عجب طرح کا ملنا جیسے دشت امید میں اندیشے کا بادل ملنا دامن شب کو اگر چاک بھی کر لیں تو کہاں نور میں ڈوبا ہوا صبح کا آنچل ملنا
English rendering
Dil kā kyā hai voh toh chāhe gā musalsal milnā Voh sitamgar bhī magar soche kisī pal milnā Vāñ nahīñ vaqt toh ham bhī haiñ adīm-ul-fursat Us se kyā miliye jo har roz kahe kal milnā Ishq kī rah ke musāfir kā muqaddar ma'lūm Shehar kī soch maiñ ho aur use jangal milnā Us kā milnā hai ajab tarah kā milnā jaise Dasht-e-ummeed maiñ andeshe kā bādal milnā Dāman-e-shab ko agar chāk bhī kar leñ toh kahāñ Noor maiñ ḍūbā huā subah kā āñchal milnā